Powered By Blogger

Monday, September 20, 2010

20 September Ki Raat ...........23:35PM

Badi susti aur pasti hai, tabeeyat bhi thodi thhik nahi. Lekh-Mala ke liye mood nahin ban pa raha hai.

sorry! (...for what?)
.....achha mazak hai na!

with love
Shrikant Tiwari

Woh -"HINDI"- Letter Jo -'bigadda'- Par Post Nahi Ho Paya :-

Jh vferkÒ cPPu th !
Lkknj Á.kke]
,u-Mh-Vh-oh-&bafM;k ij ,d laokn&nkrk Jh joh'k dqekj th dk dk;Zdze ^joh'k dh fji¨VZ* ds ,d çlkj.k esa] t¨ Li¨du&bafXy'k d¨fpax bULVhP;wV~l ij fn[kk;k x;k Fkk] mlesa ,d çpkj&c¨MZ fn[kk] ftl ij fy[kk Fkk fd% ^^vaxzth 'ksjuh dk nw/k gS]t¨ fi;sxk o¨ ngkMs+xk &ckcklkgc vkEcsMdj !**  vc Ãrus cMs+vkneh dh ckr dPph r¨ ugha g®xh u ! blls Ásfjr g¨dj fdrus y®x vaxzth dk ^nw/k* ih jgs gSa ;s r® eq>s irk ugha ysfdu gesa ge vaxzth u tkuus oky®a d® gekjs N®Vsiu dk vglkl t:j djkrh gSA
fgUnh fnol vk;k v©j eq>s ;g vglkl djk x;k fd fgUnh d¨ fgUnh esa gh fy[kuk ;k Vkbi djuk pkfg, u fd j¨eu esa A tSls ,l- ,e- ,l- vf/kdka'k y®x ;¡w gh Vkbi djrs gSa A esjh foo'krk ;s gS fd eq>s vaxzth dh&c®MZ ij fgUnh VkÃi djuk ugha vkrk A fdarq vius fopkj®a v©j ckr¨a d® vfÒOÓä Òh djuk gS A r¨] ,slh voLFkk esa tcfd eq>s vkids v©j vU; O;fä;®a fd rjg vaxzsth fcydqy ugha vkrh Ãlhfy, etcwju eq>s j¨eu dh&c¨MZ ij v¡xqfy;k B®duh iM+rh gaS] tkucw> dj ugha] fQj Òh eSa vkils v©j vU; fo}tu¨a ls {kekÁkFkhZ gw¡ A miZ;qä iafä;¨a d® Vkbi djus esa gh eq>s dkQh ls T;knk le; yx x;k t¨ Bhd ugha gS A vk'kk djrk g¡w esjh bl vaxzth dh det¨jh d® vU;Fkk u le>rs gq, eq>s ugha udkj dj vki eq>s vkids lkFk cus jgus nsus dh d¤ik Ánku djsaxs A
l/kU;okn]
vkidk vfdapu Òä
&Jhdkar frokjh ¼y¨gjnxk] >kj[k.M½


Shri Amitabh Bachchan Ji
Sadar Pranaam,
N.D.T.V.-India par ek samwad-data Shri Raveesh Ji ka karya kram "Raveesh ki Report" ke ek prasaran mein- jo 'Spoken-English Coaching Institutes' par dikhya gaya tha-,usme ek add-board [prachaar Poster] dikha, jis par likha tha : "Angreji Sherni Ka Doodh Hai, Jo Piyega Woh Dahadega__ Baba Saheb Aambedkar!" Ab itne bade aadmi ki baat kachchi toh nahin hogi na! Iss-se prerit ho kar kitne log 'Angreji ka Doodh' pee rahe hain yeh toh mujhe nahin maloom, lekin Angreji na jan-ne walon ko chhotepan ka ehsaas jaroor karati hai.
Hindi divas aaya aur mujhe yeh ehsaas karaa gaya ki Hindi ko HINDI _"DEVNAGARI"_mein hi likhna ya type karna chahiye na ki Roman mein, jaise S.M.S. adhikaansh log yun hi Roman type hi karte hain. Meri viwashta yeh hai ki mujhe Engish key-board par Hindi(Devnagari) type karna nahin aata. Kintu apne vicharon aur baaton ko abhivyakt bhi karna hai. Toh aisi awastha mein,_jabki mujhe aapki ya anya logon ki tarah English bikul nahin aati, _issiliye majbooran mujhe English(Roman) key-board par anguliyan tthokni padti hain, _jaan boojh kar nahin, fir bhi main aapse aur anya vdwa-jano se kshamaprarthi hoon.
Uparokt sabhi lines Maine pahle Devanagari(Hindi) mein hi  symbole keys ke sahare type ki, par jab post karta hoon toh pata nahi kya anap-sanap prakat ho jata hai, "...BHaia maaf karhah, Aaj khaali eihye kaam mein bhar din laag gailawa hah!" Sorry parivaar!
Aasha karta hoon ki meri iss Angreji ki kamzori ko anyatha na samajhte hue "mujhe nahin nakaar kar" iss pavitra manch par _{ on your sacred 'blog' platform } aap mujhe apne saath bane rahne dene ki krupa pradaan karenge.
Sadhnyavaad,
Aapka Akinchan Bhakt
http://blogs.bigadda.com/shr5075373 Issmein Kuchh Anjani Gadbadi ho Gayi Hai, so Please Mere Naye Blog Address Par Log In Karne Ki Krupa Karen_
http://shrikanttiwari.blogspot.com Yeh Badhiya Hai
_shrikant. Dt: 20/Sept/2010   22:25PM

Surendra Mohan Pathak_ Lekhak! Jinka Main Pathak!

September 14th, 2010 by Shrikant Tiwari

Pathak Ji
SURENDRA MOHAN PATHAK
Post Box No. : 9426              _Delhi - 110051       _India
Shri Pathak Ji
Sadar Pranam,
Aasha hai aap swasth yewam prasannachit  honge. Shayad aapko meri/mere naam ka smaran hoga. Aap pratyek varsh mujhe “New-Year” par apna Greetings bhejte hain, issliye himmat kar ke aapko kafi lambe antaraal ke baad aapse sampark kar raha hoon, iss pratyasha ke sath ki mujhe aap apni shubhkamnaon ke sath patrottar bhejenge.
Kal jee mein aaya ki Internet par aapko dhundha jaye…, aapka naam click karte hi dher sare links khul gaye, “wikipedia” par aapki upasthiti pa kar mujhe bahut garv hua, ki yeh hain woh jinhe main ‘padhta’ hoon, aur jo mujhe apni shubhkamnayen bhejte hain. Internet par aapse sambandhit aneko samagriyon mein : pictures, images, videos beshumaar thhe, Jinhe maine bahut sabra se dekha. Sabra/Dheeraj se issliye ki mere paas bahut heee slow-speed Internet Modem hai, atah: video file ne kaafi samay le liya, lekin kisi jonoon ke hawale maine aapke 2-3 video files(YouTube) dekhe. Aapki awaaz suni, aapko aapke fans ke saath batiyate aur “Pulp-fiction” par aapke interview ko dekha. Aap mere saath vigat 11-varshon se nirantar (Greeting-Cards dwara) sampark mein hain. Mere chhote bhaai ki Shaadi ka Nimantrann Card Maine aapko bheja tha, jiske jabab mein 07, May`2003 ko lagbhag 4PM baje aapne phone ( -uss waqt uplabdh Land-Line, jiski wahiyat sevice se tang aa kar katwa diya-) call kar ke mujhse baaten ki aur Var-Vadhu ko apna aasheesh diya tha,  jise main kaya hamara pura parivaar aapki krupa samajh kar hamesha yaad rakhega. Main iss patra mein Internet ke kuchh mere E.mail address aur blog ka address likh kar de raha hoon. Ummeed karta hoon aap inke dwara bhi mujhe apne aur kareeb bula kar upkrut karne ki krupa karenge.
1. E.mail : sribigb@yahoo.co.in,  -&-  sribigb@hotmail.co.uk
2. facebook : search:> Shrikant Tiwari
4. Mobile : 9431166016
Aapkae pichhle upannyas “TEESRA VAAR” (Thriller/Vivek Aagashe) ke baad koi agla parakashit upannyas, khed hai, Main nahin padh paya hoon. Wajah yahi hai ki Main jis shahar mein rahta hoon yahan ke Newspaper/Magazines sellers (-2-Bhaai - dono! …. -) “ab” (8-10 varshon se) novels nahin bechte. Majbooran mujhe aise mauke ka intezaar rahta hai ki kab Ranchi jane ka awsar mile. Ranchi railway station par hawkers/wheelers ke paas aapke likhit upannyas sahaj hi mil jate hain. Hamre Lohardaga shahar se Ranchi ke liye train chalti hai. Filhaal bus ke alawe 4-5 varshon se railway ko hee log/traveller/vijitors istemal karte hain, jo bus ke mukable 5-guna jyada sasta hai. Aapse vinamra nivedan hai : krupya “Teesra Vaar” ke baad ki  aapki ptakashit 2010 ke sabhi upannyson ki list mujhe likh kar patrottar dwara dene ki krupa karen.
Apse kuchh apne mann ke vichaar/udgaar vyakt kar ke aapki pratikryia aur aapka nazaria jan-na chahta hoon. Isse mera nivedan samajh kar uttar dene ki krupa karen : N.D.T.V.-India par ek samwad-data Shri Raveesh Ji ka karya-kram “Raveesh ki Report” ke ek prasaran mein- jo ‘Spoken-English Coaching Institutes’ par dikhya gaya tha-,usme ek add-board [prachaar Poster] dikha, jis par likha tha : “Angreji Sherni Ka Doodh Hai, Jo Piyega Woh Dahadega__ Baba Saheb Aambedkar! Ab itne bade aadmi ki baat kachchi toh nahin hogi na! Iss-se prerit ho kar kitne log ‘Angreji ka Doodh’ pee rahe hain yeh toh mujhe nahin maloom, lekin Angreji na jan-ne wale mujh jaise logon ko chhotepan ka ehsaas jaroor karati hai. Aap kya sochte Hain?
Hindi divas aaya aur mujhe yeh ehsaas karaa gaya ki Hindi ko - &-  “HINDI _”DEVNAGARI” mein hee likhna ya type karna chahiye na ki Roman mein, jaise S.M.S. adhikaansh log yun Roman type hee karte hain. Meri viwashta yeh hai ki mujhe Engish key-board par Hindi(Devanagari) type karna nahin aata. Kintu apne vicharon aur baaton ko abhivyakt bhi karna hai. Issiliye aisi awastha mein, _ jabki mujhe aapki ya anya logon ki tarah English bikul nahin aati, _  majbooran mujhe English(Roman) key-board par anguliyan tthokni padti hain, _ jaan-boojh kar nahin. Fir bhi main aapse aur anya vdwa-jano se kshamaprarthi hoon.
Uparokt sabhi lines Maine pahle Devanagari(Hindi) mein hi symbole keys ke sahare type kiya tha, par jab blog par post karta hoon toh pata nahi kya -’anaap-shanaap’- prakat gaya.{shayad software installation ka problem hai}. Sara din uparokt panktiyon ko type karne mein, [jo maine symbol-keys-(-DEAVANAGARI-) ke sahare ek-ek akshar mushkil se dhoondh kar type kiya tha], sabere ke 10AM baje se sham ke 4PM baj gaye. Fir se saare text ko English-[Roman]-Letters ki sahayata se type karne ko viwash ho gaya. Inn lanes/panktiyon ko  …Shayad isse “HINGLISH” kah kar English ke jankaar log mazak udate hain lekin woh-hi isse prachalit karne ke bhi jimmewaar hain. Kai DASHAK beet gaye Hindi Filmo ke naam ENGLISH mein hee publish kiye ja rahe hain, sirf NAAM!,,,bass uske baad cating, titles aur baki ke details ENGLISH mein hee dikaye jate hain, kuchh apvaadon ko chhod dijiye toh HINDI mein titles kisi film mein nahin dikhenge. Aur ‘ashikshit-log’ bhi iss prakaar ke posters par English mein chhape naamo ko badi aasani se padh lete hain, kya ye Hindi ke saath dhokha nahin?
Aapse main ek mashwara chahta hoon : “Blog kaya hai? Aur issska prayog kis parakaar ke ‘ -lekhan-’ ke liye karna upayukt hoga? Maine blog toh create kar liya hai, agar aapne iss blog ko dekha ya padhne ki krupa/koshish ki to aap sahaj hi yeh bata payenge ki main thik kar raha hoon ya galat. Mujhe apna samajh kar mera margdarshan karne ki krupa karen.
Maine ‘facebook’ par aapko apna “pen-frind” likhne ki jo dhrishtata ki hai, agar aapko woh nagawaar ho toh mujhe suchit kar denge, taki main usmein munasib sudhaar kar sakun ya fir delete hee kar dunga.
Main bahut mamuli aadmi hoon sahab ! Aapki bulandiyon ko mere wajah se kaya risk ho sakta hai bhala !
Aapke patrottar ki [-byagr-] pratasha mein :
_Aapka,
Shrikant Tiwari
Thana Road,
Lohardaga(JHARKHAND)
PIn: 835302
___________________________________________
the hand written letter in HINDI will be posted to Sri Surendra Mohan Pathak Ji via ‘Indian Speed-Post Services.
____________________________________________
WhOops !
I could not post the hand written -HINDI- letter via ’speed-post’ to S.M.Pathak Ji. Because the post office let me know that the speed-post don’t deliver on PO-box number. So, I bacame compelled to dropped the letter into the red box of the post office with a postage stump by general post. Hope Sri Pathak Ji must get it and hopefully, he will reply me.
*************************************************************

Chitthi Ki Tasweer

Ek Chitthi

September 13th, 2010 by Shrikant Tiwari
Shri Amitabh Bachchan Ji
Sadar Pranaam,
N.D.T.V.-India par ek samwad-data Shri Raveesh Ji ka karya kram “Raveesh ki Report” ke ek prasaran mein- jo ‘Spoken-English Coaching Institutes’ par dikhya gaya tha-,usme ek add-board [prachaar Poster] dikha, jis par likha tha : “Angreji Sherni Ka Doodh Hai, Jo Piyega Woh Dahadega__ Baba Saheb Aambedkar!Ab itne bade aadmi ki baat kachchi toh nahin hogi na! Iss-se prerit ho kar kitne log ‘Angreji ka Doodh’ pee rahe hain yeh toh mujhe nahin maloom, lekin Angreji na jan-ne walon ko chhotepan ka ehsaas jaroor karati hai.
Hindi divas aaya aur mujhe yeh ehsaas karaa gaya ki Hindi ko HINDI _”DEVNAGARI”_mein hi likhna ya type karna chahiye na ki Roman mein, jaise S.M.S. adhikaansh log yun hi Roman type hi karte hain. Meri viwashta yeh hai ki mujhe Engish key-board par Hindi(Devnagari) type karna nahin aata. Kintu apne vicharon aur baaton ko abhivyakt bhi karna hai. Toh aisi awastha mein,_jabki mujhe aapki ya anya logon ki tarah English bikul nahin aati, _issiliye majbooran mujhe English(Roman) key-board par anguliyan tthokni padti hain, _jaan boojh kar nahin, fir bhi main aapse aur anya vdwa-jano se kshamaprarthi hoon.
Uparokt sabhi lines Maine pahle Devanagari(Hindi) mein hi  symbole keys ke sahare type ki, par jab post karta hoon toh pata nahi kya anap-sanap prakat ho jata hai,
“…BHaia maaf karhah, Aaj khaali eihye kaam mein bhar din laag gailawa hah!” 
Sorry parivaar!
Aasha karta hoon ki meri iss Angreji ki kamzori ko anyatha na samajhte hue “mujhe nahin nakaar kar” iss pavitra manch par _{ on this sacred platform } aap mujhe apne saath bane rahne dene ki krupa pradaan karenge.
Sadhnyavaad,
Aapka Akinchan Bhakt
_shrikant.

Eid+Teej

September 11th, 2010 by Shrikant Tiwari
Sept 11, 2010           Lohardaga           sat :13PM dopahar
…thana toli masjid par se azaan ki awaaz aa rahi hai, aaz Eid hai. Sahar mein mahine bhar ke roze-namaaz ke baad aaz Eid ka tyohaar manaya ja raha hai, log gale mil kar ek-dusre ko mubarakwaad de rahe hain, eitr ki khushboo faili hui hai, log ek-dusre ko apne yahan sewai khane ke liye amantrit kar rahe hain.
Abhi thodi der pahle mere internet ka ballance khatm ho jane ke karan connection toot gaya, recharge karwane bazaar jana pada. Sadk par shanti thi. Adhikansh dukane band dikhin.
Azz teej ka tyohaar bhi hai. Sabhi staff apne ghar par ho rahi teej pooja ki charcha kar rahe thhe. Suhagan auraten vrat rakh kar pati ki pooja karti hain. Kal shaam se hi auraton ko bazaar se kharidari karte dekha ja raha hai. Yahan mere Murari mama ke yahan dono mamiyan teej ki pooja ka upwaas rakhe hue hain, Virendar ki wife ka abhi phone aaya tha woh Maa aur Veena se baat kar ke pooja ke vidhi-vidhan ki charcha kar rahi hain, …lekin Maa ne bataya ki hamare yahan teej nahin manai jatai_ hamare khandaan mein teej manane ki parampara nahin hai, _kyon? Maa nahin batati, sirf itna kahti hai ki unhone apne vivaah ke baad appni jethani -chachi- ko bhi kabhi teej manate nahin dekha hai… baki Ram jane_. Mujhse poochne par toh turant haami bhar dunga, lekin Veena kahti hai ki jab yun-hi 20-saal gujaar diye toh ab kyon nayi parampara ki buniyaad dali jaye, kya pata iske peeche kisi anishtkarak-durghatna ki khahani ho jo hum-par chadhai kar de…! Kya yeh yukti sangat baat lagta hai? …Main iss bahas mein na pad kar Eid ki sewai aur teej ke prasaad par dhyan rakhna chahunga. Pahle Sw.Puj.Babuji Maa se pedakiya aur thekua banwaya karte thhe, lekin ab koi khata hi nahi_, tyohaar bhi ghar pe nahin manti issliye pedakiya ka ban-na kab-ka band ho chuka hai. Jan-pehchan ke log, mitr, rishtedaaron ke yahan se hi itna aa jata hai ki khate-khate haat-munh dukhne lagta hai. Issliye abhi pedakiya ka intejaar hai.
Hamari hindi filmo mein ‘karwa-chauth’ ke vrat ki badi mahima gayi jati hai. Teej bilkul us-se milta-julta patniyon ka pawan tyohaar hai jo wye apne pati ki lambi umar ke liye manati hain. Aaj suhagane nayi dulahan ki tarah apna saj-shringaar kati hain. Teej ki pooja mein shayad pandit ji ka kahin koi role nahin hota _ ki ..hota hai?_ pata nahin!
Fir bhi iss blog ko padhne walon ko Eid ki mubarakwaad aur sabhi suhagano ke liye unki Teej-pooja Ishwar swikaar karen ye prarthana hai.

Shrikant Tiwari

Amitabh Bachchan aur Main #18 se Aage

September 10th, 2010 by Shrikant Tiwari
#19
10,September`2010          Lohardaga          19:25PM
…18, May`1989 ko meri shadi hui.
sk_creations_600
Main hardik ichha hote hue chaah kar ke bhi Patni ko Amitabh Bachchan ki koi nayi super hit film nahin dikha saka. Lekin swabhaav-vash Amit Ji ki Amit-Yaadon se main sada hara-bhara rahta tha, mere figure aur rahan-sahan, rakh-rakhao aur aadaton ke karan mere sasuraal mein mere parichay mein Amit Ji ki achhi-khasi maujudagi hamesha rahi hai. Ghar ke sabhi log jante hain ki Amit Ji mere liye Ishwar-tulya hain. Issi karan Amit Ji ki tat-kaleen awastha se sabhi awgat thhe aur unke liye chintit se ho kar unki baaten karte thhe. Sabhi unke pahle ke 12-15 filmon mein hi unhe pasand karte thhe. Aaz bhi bilkul aisi hi stithi hai. Sabhi log Unke Zanjeer -se- Shakti tak ki filmo ko hi fir se dekhna chahta hai. Iss beech Amit Ji ki koi nayi film release nahin hui, lekin kai doosri filmo mein unki guest appearence thi, kai mein unki awaaz thi. Har koi dill se Amit ji ki kam-se-kam ek aisi film ki ichha rakhta tha jo sabhi aalochakon ka munh band kar de…
Yeh murad puri hui 10,March`1990 ko release hui “AGNEEPATH” se! 
 Amitabh Bachchan-jaise Ishwar ne meri pukaar sun li ho- fir ek baar hamare samne  *Vijay* _” Vijay Dinanath Chauhan”_pura naam! ke roop mein prakat hue aur jan-manas pr chha gaye. Iss film se pahle maha-folop-film=>Ganga-Jamuna-Saraswati mein Mithun Chakraborty ke hone par bhi koi kamaal nahin hua tha, Iss film mein bhi Mithun Chakraborty ki bhumika as Krishnan Iyer M.A. ki thi jiska jadoo hum par nahi chla, apni jagah Mithun Da bhi koi kam famous nahin hain. Yeh apun ke choice ka mamla hai ki :- mujhe iss kirdaar Krishnan Iyer M.A. ki maujidagi koi naya romanch nahi de saki, yeh alag baat hai ki Filmfare best Supporting Actor/Male ka Award Mithun Chakraborty ko mila.  Iss saal ka mere liye sabse bada news tha :-
Awrds
Won: National Film Awards for Best Actor -Amitabh Bachchan
Nominated: Fimfare Best Actor Award -Amitabh Bachchan
Yahan meri manyata ne satya ka roop le liya aur meri baat ki laaz rahi ki jab-jab Amitabh Bachchan kisi film mein  apne kirdaar ka naam “Vijay” dharan karte hain toh woh film awashya hit hoti hai!
Main khush ho gaya. Yeh soch kar ki abhi hame Amit Ji ke saath mil kar bahut Chand- Suraj dekhne hain. Aur aane wala waqt sirf aur sirf Amitabh Bachchan ki vijay ka hoga.
Mere Vijay ki vijay-yatra jari rahegi.
…jari…

Amitabh Bachchan aur Main #17 se Aage

September 10th, 2010 by Shrikant Tiwari
#18
09,Sreptember`2010     -Lohardaga-      21:20PM
…”Coolie” se hi Amit Ji ki heroine/nayika ki jodi gadbad hone lagi. “Coolie” ke baad se hi Amit Ji ka ‘Name-Fame’ kamzor hone laga…, shayad Manmohan Desai Sahab [...jaise kisi junoon ke hawale!] lagataar nayi/doosri heroines ke saath Amit Ji ki jodi banane ke naye-naye parayog-par-prayog karte chale ja rahe thhe…,
Lekin 1984 mein release hui “Inquilaab” mein Sridevi ke sath Amit Ji ki jodi achhi lagi. inquilaab-1984
Film Hit hui. Jaise varsho se sookhe zameen par barish ki tazi fuhaar padi ho. Iss-mein Amit Ji ka naam ‘Amarnath’ tha. Amit ji se aise hi sadhe hue film ki apeksha thi, so puri hui. Ab Amitabh Bachchan mujhe thode jyda bade lagne lage, matlab ab main unke tatkaleen kirdaron mein khud ko ya khud mein iss Amitabh Bachchan ko atmasaat karne mein dikkat mahsoos karne laga. Mujhe Amitabh Bachchan mein ab apni ya khud mein Amitabh Bachchan ki kalpana mushkil lagne lagi…

…sorry ! …”Parvarish”dekh raha tha, baki kal…

10,September`2010      Lohardaga 09:06AM
1984 ki Amitabh Bachchan ki doosri : “Prakash Mehra”_ nirdeshit film
SHARAABI
SHARAABI
“Sharaabi” release hui jis-mein Jaya Prada Ji pahli baar Amitabh Bachchan ki heorine ke roop mein thin. Yeh ek shandaar super film hit rahi. Geet-sangeet”mujhe navlakha manga de re…, log kahte hai main sharaabi hoon”, “…de-de pyar de…”, etc., acting, story, dialogues sabhi ko maine enjoy kiya, comedy wale kuchh prasang khoob pasand aaye, “…munchhe ho toh Natthulaal Ji jasi hon varna na hon!”, lekin mujhe kuchh khatak sa raha tha. Prakash mehra + Amitabh Bachchan = Complete entertainment mein woh baat nahin thi jo iss mashhoor jodi se apekshit thi. 42 varshiya Amitabh _18 varshiya mujhe _mujh-se bahoot alag, door...hue...jate lage, kuchh dil dukhane wali baat thi… jo abhivyakti se pare hai.
Ab saal-do-saal mein Amitabh Bachchan ki kewal ek-do filmen hi release hoti thin. Issi dheemi raftaar ke beech release hui

GERAFTAAR
“Geraftaar” jis-mein Amit Ji ke saath pahli baar Kamal Hasan thhe aur mehmaan jaise lekin dumdaar role mein fir ek baar Rajnikanth bhi thhe. Film mein Amitabh Bachchan chhaye hue thhe -ye nahi kaha ja sakta, na hi koi visheshta thi, haan Amit Ji apne darshakon ka achha manoranjan kar paye ye hi bahut tha. Kahani mien koi khaasiyat nahin thi, Amitabh Bachchan ke prashanshak [-jo ki sa-garv main deewanwaar hoon-] unse Vijay ke se swaroop-matr ki hi apeksha rakhta tha …basss… kisi tarah samjhauta kar ke rah jate hain.
“Coolie” ki durghatna se thik hone ke baad bhi Amitabh Bachchan kabhi purn-swasth nahi rahe, unke swasthya mein girawat aati-jati rahi. Ek “ impossibe to pronounce” naam wale bimari ne unhe jyada trast aur aswasth kar diya, uss bimari ka naam : myasthenia gravis tha.
Myasthenia Gravis se kaafi ladai lad kar Amitabh Bachchan ne uss rog/bimari par VIJAY pa toh liya lekin uske baad ka din hai aur aaz ka din (Amit Ji, joshile, diler aur janbaaz kitne bhi hon par hain toh ek insani sharir hi na!) woh kabhi purn-swasth nahi rahe. Kuchh pabandiyan, kuchh parhej aur nitya dawaiyon ke saath doctors unke sada ke saathi ban gaye.
Zanjeer Se le kar Shakti tak VIJAY ka kirdaar nibhane wale Mere Shri_Big`B Amitabh Bachchan ke ab darshan durlabh ho gaye.
***********************
31`OCTOBER…1984…kayamat ka din !
Pradhan Mantri Shrimati Indeera Gandhi Ji ki jaghnya Hatya se sirf bharat hi nahin balki puri duniya dahal utthi. Bharat desh mein zarre-zarre par khauf-aatank-dange-fasaad-maar-kaat mach gayi. Desh ke liye yeh sankat ki ghadi thi.

Iss waqt samvedana ki jo lahar desh mein ufaan par thi us-ke prabhav ne Amit Ji ko Rajneeti mein aane ko badhya kiya, aur Amitabh bachchan member parliment ka election jeet ka ek tarah se film sansaar se aur mujhse door chale gaye. Lekin iss lekh-mala mein rajneeti vishay nahin hai aur na hi mujhe rajneeti pasand hai, yeh mera kaam bhi nahin haan itna manjoor karunga ki  iss vishay mein Amit Ji ke uss waqt ke faisle se mujhe afsos hua tha, ki ab khatam!...kya?
…par woh aaye Lekin …
*****************************
1985 ki February mein Main New-delhi 5-B Poosa Road, Delhi Public College of Competitions mein admission le kar padhne chala gaya, fir Amitabh Bachchan aur filmon se ek tarah se jaise mera nata toot gaya. Ek baar footpaath par news paper mein dekha_ ‘news tha: _"Allahabaad-(U.P.) M.P(member of parliament) gayab! police mein gumshudgi ki report darz!"
******************************
1986 - 1987 - 1988 - 1989 - 1990 - 1991 - 1992
Filmon se jab dubaara milan hua toh… jaise Amit Ji ke filmi career ko kisi ki buri nazar lag gayi ho !
“MARD”
…pata nahin Manmohan Desai _Amitabh Bachchan ko kya banana chate thhe!?…ek 'aam-aadmi' jo majdoor hai lekin usmein ‘Super-Man’ jaisi khasiyaten aur shaktiyan hain! “…Mard ko Dard nahi hota…!” lekin Amit Ji par balihaar jane wale mujh jaise darshak ko Amit Ji ki alochna se (dard) hota hai!  Jee nahin ! Film mujhe achhi nahin lagi, aur Mard ki mardana chehre wali Amrita singh _Amit Ji ki heroine ke roop mein bilkul suit nahin karti, Amitabh bachchan ko fir se padre bana kar yeh dialogue kahlawana ki “…Father ka bachcha nahin son! Father ko baap bolte hain, aur tumhara baap tumhare samne khada hai”, Amar-Akbar-Anthony ka ye dialogue yahan ghisa-pita lagta hai, jaise apne hi purane pad chuke yash-keerti ko bhunaya ja raha ho,  kuchh-ek prasangon ko chhod kar “MARD” se bahut nirasha hui. Amit ji ki fimon ke geet-sangeet bhi apni quality khote ja rahe thhe, Sw. Kishore Da, Sw. Mohd. Rafi ke nahin rahne ke karan ab Amit Ji kabhi ya toh woh khud ya Shabbir Kumar ki awaaz mein gate dikhne lage thhe, jo katai aanand-dayak nahi raha.
“AAKHIREE RASTA” 

Shuruwat mein Jaya Prada Ji aur baad mein double role mein Sridevi ke saath Amit Ji achhe lage, film chali, mujhe sentimental bana dene wala Amita Ji ka mshhoor filmy naam Vjay rahne ke karan mujhe film dekhna sahaj laga aur pasand bhi aaya.  Gaane nahin chale, yeh koi bahut badi blockbuster toh bilkul bhi nahin thi.
“SHAHENSHAH” 
aaz blockbuster kahlati hai! Kyon bhala? Ussi samay jab release hui thi toh alochakon ne isse kosno-aur-fatkaron se navaza tha. Aaz kya jadoo ho gaya!?  Badi ummeeden thi iss-liye ghan-ghor nirasha hi haath lagi…atishyoktipurn prastutui, jo aam aadmi ko Shahenshah jaise kartab kar dikhane ki soch se bhi door rakhti hai, aur sachchai se bilkul pare, kamjor samwaad/dialogue…kuchh log kah sakte hain ki “…rishte mein toh hum tumhare baap hote hain, naam hai Sahenshah!”_yhe pasand kiya gaya tha. lekin jab humlog puri mitra-mandali release ke turant baad yeh film dekh rahe thhe toh hum-mein-se kisi bhi ek ke munh se waah! nahin nikla tha, Minakshi Sheshadri ke saath Amitabh Bachchan ki jodi asamanya si lagne ke karan jami nahin, [Meenakshi Sheshadri was born on 16th November`1959. Her birth name was Shashikala Seshadri. She is from Tamil Nadu. Her father was an employee of the Sindri Fertiliser plant in Sindri, Jharkhand, India. This beauty queen was awarded Miss India in 1981 that time she was 21 years old.] “Kaalia” fame director Mr. Teenu Aanand, jo apne hasyaspad chehre ke karan baad mein acting bhi karne lage, ne kaalia ke kalpanik patr Mukhtaar Singh ko asli charecter ke roop mein pesh kar ke uski fazihat karwate hain. Amitabh Bachchan ke kirdaar ka famous aur sentimental naam VIJAY KUMAR SHRIWASTAVA rakh kar usse uski bulandiyon ka haque nahin de pate, aur unse kamjor comedy karwa kar jabaran hamen hansaane ka asafal prayaas karte hain. Film dekh kar har kisi ne, yahan tak ki mere Sw. Puj. Babuji ne bhi kaha tha ki “…ab Amita-bachan badhiya kaam naikhe kurat!”
…bass…bazar band…
****************************************
“GANGA-JAMUNA-SARASWATI”

………chhaayh! Tauba!
Kuchh kahna hi bekaar hai. Jinhone Amitabh Bachchan ko bulandiyon tak pahunchaya aur chandi kati woh hi pata nahin kyon(!)kyon(!)kyon(!) unhen(mere Shri_Big`B ko) chaupat karne par tule hue the, mere aisa kahne par mere dost iske liye Amitabh Bachchan ko hi doshi mante hain. Iss film ke Amitabh ko dekh kar sahsa vishwas nahin hota ki yahee aadmi Zanjeer, Sholay, Deewaar, Trishul, DON aur Kaala-Patthar jaisi filmon wala "Amitabh " hai ! Oh!!! Bataiye toh! ...peeth par magarmachh ko laad-baandh kar dushman ke adde mein ghusna…! Lagta hi nahin ki yeh Amitabh Bachchan ki film hai! Mere dost film beech mein hi chhod kar cinema se chale gaye, free mein VCR/video par bhi kisi ne dubara dekhne ka sahas nahi kiya.
“TOOFAAN”………chhaayh! …Tauba-Tauba!
[iss film ka poster encyclopedia mein bhi available nahin hai]
[Manmohan Desai ke bete Ketan Desai dwara nirdeshit!] Iss film ki kahani ab mujhe yaad bhi nahin. Main khul kar yeh swikaar karta hoon ki ab koi josh AMITABH BACHCHAN mujhme nahi jaga paate thhe…!
AMITABH BACHCHAN ki stardum ke bawazood tab tak ki unkki sabse jyad FLOP film release hui.
“JADUGAAR”
GOGA!!!……chhyah!  
He Bhagwaan!!!…..
…..“Zanjeer”, “Hera-Feri”, “Khoon-Paseena”, “Muquaddar ka Sikandar”, “Lawaaris”. “Namak-Halaal”, “Sharaabi”, …sabhi ke producer aur adhikansh ke khud director bhi MR. PRAKAASH MEHRA! Vishwaas nahin hota. Aisi kachra film bhagwaan dushman ko bhi na parose! Yeh film dekhne Main, Rajeev ke sath Ranchi ke Sujata cinema gaya tha, ticket khidki aaz  jaise hamara raasta dekh rahi thi,  _ hall se nikalte chand/thode se darshak galiyan bak rahe thhe, utsukta se Rajeev ne ek vyakti se poochha ki kaisi film hai? Jabab yahan likhna katthin hai, Rajeev ne mujhse kaha ki wapas chalo, lekin main umeed na haar kar film dekhna chahta tha, Rajeev chala gaya, jilm Maine akayele dekhi. Kash! Maine, Rajeev ki baat suni hoti. Amitabh Bachchan khud hi khud ka kachra kar rahe hote hain.

“MAIN AZAAD HOON”
Fir se chhyaaaah!
….. Amitabh Bachchan ki filmon ko nakara jane laga.
lgataar flops, flops, folps..!
sorry vijay, tumhara koi dosh nahi.
…jari…

Hamaar Babuji ...Babuji Ho.....!!! Oh! Oh!! Oh!!!

September 6th, 2010 by Shrikant Tiwari
samay 00:20AM                 Lohardaga           06,September`2010
Hamaare Swargiya Pujyawar Babuji
ki
Punya Tithi ka Din
Shri`mad`Padm-Purann se:-
Jhen~iùiqjk.k ls &
firk /keZ% firk LoxZ% firk fg ijea ri% A
        firfj    Áhfreki颠   Áh;Urs     loZnsork% AA(47/9)-iùiqjk.k
firk /keZ gS] firk LoxZ gS v©j firk gh lo®ZRd`"V riL;k gS A
firk ds çlé g¨ tkusij lEiw.kZ nsork Álé g¨ tkr¢ gSa A
 “Pita Dharmah, Pita Swargah, Pita Hi Paramam Tapah’
Pitari Preeti Ma`Panne Preeyante Sarva Devtah”
Shri Babuji 


Aaj Babuji ki 17win punya tithi hai. Unke khone ka din. Unhe yaad karne ka din. Unke vyaktitwa ko yaad karne ka din. Unki baaton ko yaad karne ka din. Unke aadarshon ko yaad karne ka din. Unhe shraddha se pranaam karne ka din. Unki pooja karne ka din. Unse vinati karne ka din. Unse aashirwaad pane ka din. Unse apni shikayaten kah dalne ka din. Unse rootthne ka din. Unhe manaane ka din. Unhe pyaar karne ka din. Unse pyaar paane ka din. Unhe dene ka din. Unse paane ka din. Jo nahin pa sake, use bhool kar Unhe(!) paa lene ka din. Unse nivedan karne ka din. Unhe sada apne saath hone ka ehsaas karne ka din. Apna sarvaswa unhe arpit karne ka din.

 Om Shri Pitr-Deve`Bhyo Namah

Hum aapke bachche hain aur aapke sharnagat hain. Krupa kar hame apni sharan me lijiye, apni krupa hum par banaye rakhiye, hamaari bhoolon-galatiyon-nadaaniyon-apradhon ko hum par daya kar ke hame kshama kijiye. Hamaare dwara ki gayi aapki pooja ko swikaar kar ke hame upkrit kijiye. Hum prar prasanna ho kar hame apna aashirwaad dijiye. Hame pragati, unnati, tarakki, samriddhi, shaanti, sadbhaav, prem, bhaaichaare aur apni bhakti ka aasirwaad dijiye.
Hum aapke bachche hamari Pujya Maata sahit aapko pranaam karte hain.
…aapka apna parivaar…
Maa,
Shrikant - Veena,
Shaahi - Pushpa,
Kamal - Rupa,
Pritish (aapka bhuchuliya, aapka pota- Jimmy, aapke aasirwaad se aaj Engineering ki padhai kar raha hai),
Kshitiz (sunny -aapki god mein pal bhar ke liye khel pane wala aapa saubhagyashali pota).
Govind (sanu -Shashi ka beta -aapka pota),
Atul (aman/ Laddu -aapka chhota pota)
aur
nanhi-munni Sharishtha (aapki poti- baguna/faguni/gungun -aapke Gabudan ki Bati)…
He Babuji !  Hamara marg prashast kijiye
Sada hamara margdarshan karte rahiye
Sada hamare ang-sang rahiye

vkid¨ gekjk ç.kke
 Apko Hamaara Panaam!
September 4th, 2010 by Shrikant Tiwari
AMITABH BACHCHAN
 Saat Hindustani : Winner, National Film Award for Best Newcomer -Yr.1969
Aanand : Winner, Filmfare Best Supporting Actor Award -Yr.1971
Namak Haram :  Winner, Filmfare Best Supporting Actor Award -Yr.1973
Amar Akbar Anthony :  Winner, Filmfare Best Actor Award -Yr.1977
Don :  Winner, Filmfare Best Actor Award -Yr.1978
Agnipath :  Winner, National Film Award for Best Actor -Yr.1989
Hum :  Winner, Filmfare Best Actor Award -Yr.1990
Mohabbaten :  Winner, Filmfare Best Supporting Actor Award -Yr.2000
Aks :  Winner, Filmfare Critics Award for Best Performance -Yr.2001
Black :  Winner, National Film Award for Best Actor -Yr.2005
The Last Lear :  Winner, Stardust Best Actor Award - Yr.2008
Paa :  Winner, Filmfare Best Actor Award -Yr.2009
and so many nominations in entire career for Best Actor
and counting
 Shrikant Tiwari

AMITABH BACHCHAN AUR MAIN #16 se aage

September 4th, 2010 by Shrikant Tiwari
#17
04,AUG`2010
Lohardaga  / din ke  13:48-PM baje / do-pahar se…
type karna shuru kiya…
sandarbh “Coolie”
…issi samay “COOLIE” release ho kar cinema gharon mein lag bhi gayi thi. Patna ke anek cinema gharon mein “COOLIE” lagi thi, lekin mujhe Jijaji ke taraf se  film dekhne ki izazat nahin thi, isse woh aisa faltu kaam samajhte hain jaise sirf  film/movie/cinema culture ne hi vidyarthiyon ke career ka full kabaada kar ke rakh diya ho, aaz bhi mauka milne par woh Bhartiye ho ya videshi, filmo ko kosna nahi bhule hain, bass unse koi poochh bhar toh le !  Issliye main basss… hasrat bhari nazron se “COOLIE” ke posters ko sadko ke kinare ki deewaron par, oonche hordings par dekh kar film ki kahani “kaisi hogi? …film achhi bani bhi hai ki nahi? …sochta jata tha. Coaching center mein bhi main kisi se jyada baaten nahin karta tha. Fir bhi logon mein “Coolie” film ki jaisi be-sabri/aur bechaini se pratikaha thi, untni hi jyada uski kahani aur Amitabh Bachchan ki baaten hoti thin. Sabse badi baat yeh hoti suni gayi ki film mein “uss accidental seen” ko freeze karke/rok kar, caption/soochna/notes ke saath khaas Amitabh Bachchan ke fans ke liye dikhaya gaya hai. Film se jyada issi baat ne muje “COOLIE” dekhne ke liye byagra kar diya. Lekin Main “Coolie” nahin dekh saka.
Iss beech 1983 mein Amit Ji ki aur doosri filmen jo “Coolie” ke aage-peechhe ya sath-sath bann rahin thin, woh sab bhi release ho kar cinema gharon mein chal rahi thin.
1983 mein Amit ji ki release hui mukhya filme thi : “Nastik”, “Andha Kanoon”, “Mhaan”, “Pukaar”, aur “Coolie”.


Iss list ki kisi bhi film ko Main tarteebwar/kramm se nahin dekh paya. Jise bhi dekha jab awsar mila tab hi dekh paaya. Lekin “Coolie” film ke itne charche sun kar Didi bhi dekhne ko utsuk thi, jiska Mine fayda uthya aur Jijaji ke upeksha aur narazgi ke bawajood Jijaji ke bank [UBI/Stn. Rd. Branch, Patna] ke peechhe ‘Veena cinema’ mein, hamne “Coolie” dekhi. Amitabh Bachchan abhinit , Sw. Manmohan Desai dwara nirdeshit 1983 ki sabse jyada charchit film “Coolie” -1984 ke February mein dekh saka.
“Coolie” film mujhe jara bhi achchi nahi lagi.
Jis fight seen mien Amit Ji ko chot lagi thi woh seen aaya, ruka, paar ho gaya….us-se Amit Ji ko jo pyar, sneh aur sad-bhawna milni thi woh unhe awashya mili, lekin film ki takdeer  mein jo hona tha woh hua. Apni koshish mein Amit ji ne koi kotahi ki ho iska toh sawal hi paida nahin hota, lekin film ki kahani, aur doosre actor/actresses ke role aur script ki kamzori ko woh foonk mar kar toh kadapi nahin sudhar sakte thhe.  Amitabh bachchan ka famous filmy naam “Vijay” ab sunai hi nahi deta tha,  “Shakti” film ke baad aaz tak fir kabhi bhi mujhe mere favourate “Vijay” se mulakaat nahi hui. “Coolie” ki durghatna ke karan film ki script mein her-fer kar ke aant mein Amit ji ke coolie ke kirdaar Iqbaal ko toh zinda dikhya gaya lekin mere “Vijay” ki jaise asmayik/aakaal maut ho chuki thi. Main meri soch, mere khayalaat, mere vichaar aur mera astitwa jaise akayla-tanha, shayad be’yaro-madadgaar ussi Vijay tak hi thahar sa gaya. Mere “Vijay” ki Vijay-yatra jaise samapt ho chuki thi.
*********************************************************
Jab Ranchi aaya toh Sujata cinema mein “Mahaan “film dekhne ka mauka mila, film se badi mayisi hui. Patna mein hi jab ek din ke liye Didi-Jijaji apne gaano gaye thhe toh Main, Mahindar Bahia unke chachere bhaai Satyendar bhaia aur unke ek mitr ke saath Patna ke [uss waqt chalu] ‘Vaishali cinema’ mine humne “Pukaar” film dekhi, cinema ghar khali-kkali tha chand log hi hall mein maujood thhe, film kisi ka manoranjan nahin kar saki. Mere samne mere Shri_Big`B ki aalochna ho rahi thi, koi kya, sabhi ulta-sulta bol rahe thhe “… abb amitabbhaa ke din gelau iyaar…!” Mera mann inn baaton se bahut dukhi ho jaya karta tha. Mujhe aisa lagta tha ki sabka samay, sab din ek jaisa nahi rahta.
Lekin Amitabh Bachchan ki bulandiyon tak tab bhi unhe aur unke stardum ko takkar dene wala koi doosra film abhineta nahin tha. Jiska suboot tthode hi waqt ke baad mil hi gaya.
1984 ki garmiyon mein mere swargwasi chachere bade bahia ke bade bete ki shaadi hamare gaano se hone wali thi jismein shamil hone ke liye Lohardaga aane par main uss samay apne sabse pyare dost BANDE ko apne saath apne gaano leta aaya tha. Uss shadu mein Mera bhanja Sushil bhi sa-parivaar aaya tha. Shaadi ka saaman kharidne manjhle chachere bhaia log Patna ja rahe thhe, Babuji jo taxi lekar gaye thhe woh hi unhe Patna le ja rhi thi jismein main Sushil aur BANDE bhi saath ho liye ye kah kar ki Patna shahar mera dekha hua hai Main kaam aaunga. Kaam kya aana tha, hmein toh masti karni thi, jo hamne ki. Patna ke Exhibition Road par ‘Channakya Cinema’ mein Maine BANDE aur Sushil ke sath film dekhne ki yojna banayi. Patna mein cinema ke ticket ke liye badi lambi kataar subah se hi lag jaya karti thi, koi bhi movie ho, ticket aasani se leni ho toh black mein hi lena padta tha. Fir bhi BANDE jo body-builder tha usne kataar mein lag kar dhakka-dhukki sah kar ticket hasil kiya fir hamne Amitabh Bachchan ke Guest Aappearance wali 1983 ki blockbuster Super-Duper hit Rajnikath ki pahli Hindi film **”ANDHA KANOON”** dekhi. He Bhagwaan…! Kya moment tha. Oh ! Baba re Baba ! Guest appearence mein hi sahi par Amitaabh Bachchan ke liye hi bheed thi!!! Aur Amitabh Bachchan ke Shandaar performance ke karann hi film ka naam Aur usmein unka kaam aaj bhi har-ek Amitabh-fan ko bakhoobi yaad hai. Hema ji uss film mein Rajnikanth ki bahan, ek police inspector ki bhumika mein thin, jo apne “inspecteor-giri” ke chakkar mein gundon se ghir kar lachaar ho jatin hain ki Mere Shri_Big`B >’sabke sankat-mochan’ ki entry hoti hai. Oh ! kya hungamma tha re baap! Intna hulla ! Inte jor ki harsh-dhwani hui …jaise Mera_Vijay fir zinda ho gaya ho…! Uske baad puri film mein Amitabh bachchan ka kirdaar Rajnikanth ke parallel hi chalta hai. Climax mein Dharm Pa Ji ke sukhad ashcharya ki tarah[- "..arre ! mera bumpper tod diya..."-] entry ke saath adalat mein Rajnikanth ki jeet par pyari khubsoorat muskaan bikherte taali bajate Amit Ji … Rajikanth se gale milte hain. Aisa meri yadasht mein yeh pahla udahran hai jo ek guest appearence cast ko lead appearence cast se jyada prashansa mili ho. Iss film mein Amitabh Bachchan dwara nibhaye gaye role ke liye Filmfare Best Supporting Actor Award ka nomination mila. Ye koi kam badi baat nahin!
*****************************************
Vijay hi kyon ?
Film Zanjeer se Shakti tak jin-jin filmon mein Amit ji ka naam Vijay raha unmein se adhikansh fimen Super-Hit rahi, khoob bura hua toh bhi Amitabh Bachchan ke karan darshako ko paisa-wasool performence ka maza mila. Inn-mein se koi ek film mujhe bata dijiye jiski prashansa na hui ho aur jo buri tarah FLOPP! ho gayi ho!
Nahin bata payenge.
Kaise?
Main madad karne ki koshish kata hoon_
1. 1973  Zanjeer: Inspector Vijay Khanna  [!/?]
2. 1974 Roti-Kapda aur Makaan : Vijay  [!/?]
3. 1975  DeewaarVijay Verma [!/?]
4.  1975 Sholay : vijay na sahi milta julta naam : Jay/Jay Dev [!/?]
5. 1976 Hera-Feri: Vijay [!/?]
6. 1978  Trishool : Vijay Kumar [!/?]
7. 1978 DON : Don/Vijay [!/?]
8. 1979 The great Gambler : Jay/ Vijay [!/?]
9. 1979 Kaala Patthar : Vijay Pal Singh [!/?]
10.  1980  Do aur Do paanch : Vijay [!/?]
11. 1980 Shaan : Vijay Kumar [!/?]
12.  1982  Shakti : Vijay Kumar [!/?]
aur
13. 1990  Agnipath : Vijay Dinanath Chauhan {_pura naam!} WinnerNational Film Award for Best Actor [!/?]
Ab Kya faisla hai aapka?
!=Haan.  ya  ?=Naah
Inn sabhi mein se kaun sa “Vijay” mujhe sabse jyada pasand hai…!?
…agar koi mujhse puchhega to main nih:shankoch “Deewaar” ke Vijay ko chununga,[{(-2nd position par Trishool ke Vijay ko rakhunga)}]- kyon ki yeh mujhe hamare apne jaisa lagta hai,  sabse badi baat yeh hai ki iss kirdaar ke baad Amitabh Bachchan _“VIJAY”_ ko naya avtaar de kar pakka sthapit kar dete hain, mujhe iss baat se koi sarokaar nahin ki yeh kisi haji-peer ya koi mastan-sultan par based hai, mujhe iss-se bass issiliye lagao hai ki yeh garibon ke aam aadmi ke beech ka hai, aajkal ban rahi filmon mein Amit Ji ke larger than life “Ati-Dhanad’dhya Maha-Mahimamaya Vyaktitwa” ki tarah nahi balki unheen gareebon ki tarah unheen ke beech ka apna Vijay! Jo haar maan kar haalaat se samjhaota kar ke mar-mar kar jeena nahin chahta, woh sahukaar-[Dabar_Mulk Raj Dhabaria{Iftekhaar}]- ke fenke hue paise nahi uthata, woh na zulm karta hai na zulm sahta hai, woh apni maa ko roz I love you! nahi kahta, lekin woh building kharid kar maa ko gift mein deta hai, jahan uski maa ne vashon pahle wahan ussi banti building mein majdoori ki thi, Maa se pyar ka dikhawa nahi karta, usski pooja ka prasaad nahin khata, Maa chhod kar chali jaati hai fir bhi uski jaan ke badle apni jaan dene ke liye dushmano aur police ka kauf na kha kar mandir mein Bhagwaan ke samne khud ko usske hawale kar deta hai. Yeh Vijay ki sabse badi Vijay hai. Apne chhote bhaai ke saath mulakaat main jab woh usske aadarson par jhunjhulata hai “…aaz mere paas bungla hai, gadi hai, bank balance hai _kya hai tumhare pass?” toh bhaai {Shashi Kapoor Sahab} kahta hai “mere paas Maa hai !” Iss prasiddh dialoge seen mein Amitabh Bachchan{Vijay} na hote toh kya iski woh dhoom machti jo aaz tak logon ke dilon-dimaag par chhayi hui hai? Aur wo godaam/godown/warehouse wala film ka eklauta fight seen ! Anokha ! Majdooron se jabran haftha khane-wasoolne wale, Madan Puri [Samant] ke gundon se Vijay akayele lad padta hai. Iss fight seen mein yeh important nahin ki Vijay ne kitne ghunse maare! ya khud maar khhai_balki khoobi iske presentation mein hai : Vijay gundon ke beech unke leader Peter{mujhe iss charechter ka asli naam yaad nahin, yeh shakhsh Manoj Kumar Ji ki sabhi filmo mein dikhta hai}-ki maujudagi mein godaam mein ghus kar bheetar se gate lock kar deta hai aur chaabi Peter ki or uchhal deta hai, yeh kah kar ki woh(Vijay)khud uski jeb se chaabi nikaal kar darwaaja kholkar bahar niklega, fir Vijay unse akayela lad padta hai…!…haar maan kar Peter chaabi Vijay ko saupna chahta hai, lekin Vijay chaabi uske haath se leta nahin, balki usse uski jeb mein wapas rakhne ko kahta hai,
 ...fir usse peet-ta hai aur usse nidhaal kar ke uski jeb se chaabi nikaal kar khud darwaaja kholta hai aur ladkhadate hue bahar nikal aata hai, majdoor bhaiyon mein harsh-dhwani hoti hai, aur darshakon mein ullaas-utssaah ki lahar daud padti hai jo nkali nahi mani ja skti. Khaas baat issme yeh thi ki Vijay ne issme himmat aur atmvishwaas ki jeet ka jo jhanda buland kiya woh be-misaal hai. Yeh kahte garv hota hai ki itne sare karname Mere Shri_Bib`B Amitabh Bachchan ne hi kiye hain. Issi film aur Amitabh Bachchan ke yogdaan se billa number 786 jagat-prasiddh hua aur aam Hindustani sabhi logon ne isse saraha, apnaya. Main yeh Vijay-ghosh fir karunga :
Amitabh bachchan Ji!
Twam -he- Vujay!
it.s a challenge!
now my Vijay is no more with me
fir bhi AMITABH BACHCHAN AUR MAIN…
…jari…
00:25AM
good night Vijay!

AMITABH BACHCHAN AUR MAIN #15 se aage

September 4th, 2010 by Shrikant Tiwari
#16
3,AUG`2010
Lohardaga 23:44PM (night/raat) start typing
Coolie ke release hone se pahle mere khud ke jeewan mein bahut si tabdiliyan ho chuki thin. Main school se college pahunch gaya tha. 26, july`1982 ko Amit Ji ko chot lagi thi….yeh samachaar hum tak pahunchne mein hi 3-4 din lag gaye thhe. Tab hame Amit Ji ko lagi chot ki gambhirta ka koi ehsaas nahin tha. Tab Main I.Sc. 2nd(final) year mein tha. …Uss din main doston ke saath college ke common room mein tha jab ek news paper mein iss durghatna ka vistrit varnan tha. Padh kar auro ka toh pata nahin mujhe sadma sa laga, mann uchaat ho gaya. Main ghar aa gaya. Sabka jeewan samanya gati se chal raha tha, lekin mere mann ki dasha asamanya thi. Main sahaj lagne ka aur apne kaam mein mann lagane ka bharsak prayaas karta tha lekin meri haalat mein koi sudhar nahin hua,  na hi main apna kaam dhang se kar pata tha. Uske baad roz main be-sabri se news paper ki pratiksha karta tha aur iss ummeed se paper padhta tha ki Amit Ji ke swasthya ke bare mein  koi shubh samachaar hoga lekin…nahin,…samachaar yeh hota tha ki ‘unki’ tabiyat bigadti ja rahi hai. He Bhagwaan…! Din bit-te gaye, saptahon baad bhi koi shubh samachaar nahin mila. Fir jaise ye hi ek vishesh musla rah gaya jis par discussion karna, apni-apni sunaana logon ka shagal ban gaya. Fir Amit Ji ke bigadte swasthya ke karan mere jaise logon ki toh chhodiye pure desh bhar mein chinta-fikr aur shayad dahshat ka mahaol chha gaya. Logon ne apni mannaten chod kar Ishwar se Amit Ji ke achchhe hone ki duaye mangni shuru kar deen. Main isske liye mandir toh nahi gaya na hi ghar ke calanders par chhape bhagwan ki tasweer ko dekh kar vinati ki, parantu haan … Main raat-raat bhar jagta rahta tha, need nahi aati thi, Main mann se hi na maloom kya-kya lat-pat baaten sochta tha ,…Amit Ji kab achchhe honge? …honge bhi ya nahin? …Anishtt ki aashnaka ne mujhe aisa trast kardiya tha ki main bimaar sa rahne laga. Mujhe badhawaas dekh kar kuchh doston ne (Local language mein) mera mazaak bhi udaya “…ka re ! re.. ! tor-{yours}-hero toh betta gelau…, aisne munh latkaile rahbe to tohon-{you too}-jalidiye jaibe…badi Amitabh-Amitabh kara halle, ab ka holau?…”, ghar mein daantt bhi padi. Jeewan swabhawik gati se apni chaal chalta raha, lekin main asamanya hota gaya. Cinema ghar band nahin hue thhe, unmein filme lagti thin, badlti thin lekin mera dhyaan unki taraf jata tak nahin tha, kyon jata? Amit ji ke bagair filmo ka kya arth? Maine filme dekhni chhod di. Filmon ke posters ko niharna chhod diya. Khamosh, udaas.., khinn…alsaya hua dekh kar Babuji ek din mhjh par bahut bigde, khoob daantt padi… maine sab saha… akayle mein ro liya…, ussi din sham ko Babuji ne (hamari apni bhojpuru bhasha mein) kaha “…are unka-{to him/Amitabh bachchan ko}-kochchho na hoyi, ou thheek ho jaihen, Indra Gandhi-{Late Smt. Indira Gandgi - former Prime Minister of India}-aapan jahaaj se Amerika jaat rahee, se ghur ailee, au Bambai ja ke hospital mein unka ke{Amitabh Bachchan ko}-dekhli hah, badka-badka daktar {doctor} log unkar eelaaj mein lagal badan ja, jade chinta ke baat naikhe, aajhe saanjh mein redio par bol-lak hah ki unkar{Amitabh bachchan ki}-tabiyat ab thhik ba, unkar ghar ke sab log unka se mil-lan hah ja, ghabraye ke baat naikhe…” Babuji ki ye vaani aaz bhi mujhe yaad hai jise main kabhi nahin bhool sakta, jisne mere shareer mein fir se jaan foonk di. Lekin apwaahon ka baazaar garm tha, atkalpachchu logon ki atkalen bhi dahlane wali hua karti thin “… ab Amitabh thikko ho jaitau toh kaam kare nai saktau, ….ab karbo kartau toh khali{only/sirf}chhota-mota role kartau chahe{or/ ya fir} fileem lainwe chhod datau…” …sun kar mujhe khed hota tha aur afsos bhi hota tha ki “…kahin sachmuch mein Amit Ji kaam karne se lachaar na ho jayen !… Din par din beet-te gaye shankaon-ashankaon-na`ummeedi aur ummeedon-aashaon ki tkkar hoti rahi, samay beet-ta gaya. Fir ek din samachaar sun-ne ko mila ki ek saptah ke bheetar Amitabh Bachchan ghar aa jayenge, lekin purnn swasth hone mein waqt lagega issliye filhaal kaam nahin kar payenge. Ye badi khabar thi. Main prasannta se jhoom uttha.
Iss durghtna se anjaan vyakti bhi naamcheen ho gaye.
Fir mere Shri_Big`B ek din hospital apne se ghar aa gaye. Samachaar patrikaon mein unke hospital se bahar nikalne ki, logon ko dekh kar unki taraf haath lahrane ki unki tasweeren chhapi, jismein woh bahut kamzor aur duble-patle dikhai padte thhe. Patr-patrikaon ne iss par visheshank publish kiye. logon ne jo mannaten maangi thhi usse puri karne ke liye mandiron mein pooja ki aur Ishwar ko apne-apne tarike se dhaywaad kaha , prasaad aur mitthaiyan batin. Ek utsaw sa mahol pure desh mein chha gaya. Iss prakaar ki doosri koi misaal nahi.
Samay ke beetne ke ssath meri aage ki padhai-likhai ki baaten hone lagi. Patna mein mere manjhle Jijaji banking job mein thhe, unhone Babuji se kaha ki woh mujhe Patna bhej den, jahan Main unki dekh-rekh mein rahoonga aur coaching classes kar ke apne career ke liye padhai karoonga. Babuji mujhse atyadhik sneh karte thhe, woh bahut hichkichye, lekin Jijaji ne unhen samjhaya, fir Maine bhi apni sahmati jatayi tab Babuji ki aagya mili. 1983 ke November mein Main Jijaji ke sath Patna chala gaya jahan ke “Ram Mohan Rai Seminary” ke morning science coaching classes mein mera dakhila kara diya gaya. Main Jijaji ke yahan Patna ke “Chiraiyatand ilake ke ‘Postal-park’ area mein unke dere mein rahne laga jahan meri Bacho didi aur Jijaji ke chhote bhai Mahindar Bhaia bhi rahte thhe.. Roz subah tthande ghane kohre mein Jijaji paidal mujhe Çhiraiyatand Pool(bridge)’tak chhodne saath jate thhe, mujhe ek riksha par bithate, riksha wale se bhaada (fair) puchhte, tassali kar ke mujhe  ”Do Rupay aur Pachas pase(Ddhaai rupay_Rs. 2.50)” dete ki riksha wale ko Ek rupae dena, Ek rupay wapas aane mein lagega, baki pachaas paise se kuchh khha-pi lena aur bank mein mujhse mil kar fir dera(ghar) jana_{ kahte bhojpuri mein thhe ki “…ye{one/swar “a”} go rupiya hene se, ye go ruiya hone se, baki aatthaana ke kuchchho khaa-pi lihah, au laute ghari ohija se aake hmara se bank mein bhent kar lihah, thhik noo? Main sahmati mein sar hilata, fir rikshe se coaching center paunchta, class karta aur hidayat ke mutabik laut kar unse unke bank mein milta fir woh mujhe wapas dera(ghar) jane ka route smjhate, jo samajh kar use follow karta dera aa jata tha. Iss prakaar dheere-dheere woh nishchint hote gye aur Main abhyast hota gaya.
1:27AM Midnight !!!
so good night
…jari…

AMITABH BACHCHAN AUR MAIN #14 se aage

September 1st, 2010 by Shrikant Tiwari
#15
01,AUG`2010
SANDARBH : COOLIE
‘……The film became famous even before its release when Amitabh Bachchan was critically injured on 26th July 1982 in the intestines while filming a fight scene with co-star Puneet Issar which almost cost him his life. The crew was filming the shot at University Campus in Bangalore. His accident received wide world coverage and hit the headlines in the UK, something unheard of at the time, and many Indians prayed in temples or offered to sacrifice their own limbs to save him. Nevertheless he spent many months recovering and resumed filming later that year after a long period of recuperation.
Bachchan resumed shooting and remarkably in the final cut of the film, the fight scene during which he is injured is frozen and a message appears marking this as the scene in which he was injured.
Due to Bachchan’s injury, the ending was changed. In the original, Amitabh died after Kader Khan shot him. But later on, after the injury-and-recovery episode, Manmohan Desai, thinking that this would have a negative impact on the movie as well as a bad feeling in the audience, decided to change the ending. The modified ending has the hero recover after his operation.
 COOLIE ka Poster
Release date of “COOLIE” : 14 November 1983
***************************************************************
Aage ki khani batlana mere liye bahut katthin hai, kyon-ki mujhe sach kahte rahna hai, jhooth ke fudne nahin taankne hain, jo ki ek bhakt ko apne bhagwaan ke khilaaf hi kuchh kadwi baaten kahne ki katthin paristithi utpann karegi, jo dusron ko khed-janak lag sakta hai. Lekin jo kahani shuru ho chuki hai use uske anzaam tak to mujhe hi pahunchana padega, kyon-ki yeh meri baaten hi to hain. Isske liye Main Bhagwaan shri Krishnn ki sharann leta hoon ki woh mujhe sahas pradaan karen, aur doosre sabhi ko dhairya.
Aaz 01 tarikh hai jo karm-kshrtra (office) ka vyast din hai, upar se Malikaan mauzood hain, tab tak main apni yadast ko fir se taro-taza karne ki koshish karunga taki mujhse koi atshyoktipurn, atiranjit bhool na ho.
Sabhi ko ‘Shri Krishnn Janma-ashtmi’ ki hardik shubh-kamnayen !
Mann ki shanti ke liye Shri-mad-bhagawad-geetaa ke paanch shloka nivedit karta hoon…
” karmnyewadhikarste ma faleshu kadachana
ma-karm-fal heturbhuh ma-te sangostavikarmane  “…..
” yada-yada hi dharmsya glanirbhawati bharata
abhyut’thana-ma-dharmasya tadatmanam srijamyaham “…..
” partranya sadhunam vinashaya-cha-dushkritam
dharma sansthapnarthaya sambhawami yuge-yuge “…..
” yadyadacharati shreshthasya tatt-devetarojanah
sa yat-pramanan-kurute lokas-tadanu-vartate “…..
” ananyaschintayanto ma, ye janah paryupasate
teshan nityabhiyoktanam, yogkshemam-wahamyaham “…..
jari

AMITABH BACHCHAN AUR MAIN #13 se aage

August 30th, 2010 by Shrikant Tiwari
#14
30,AUG`2010
Peechhe Maine “SHOLAY” tak ki posters post ki hai, baki ke baaaad mein…! Abhi kuchh katha-wachan ka mann hai…
1982 mein Main I.Sc. [intermediate] mein tha, jab “SATTE PE SATTA” release hui. Iss film ko Main release ke sath hi nahin dekh paya. Haan Mama, Ranchi ja kar dekh aaye thhe aur film ke kissse bade shaan se sunate thhe “…ki kis tarah “Baabu”, film mein Amit Ji ke doosre kirdaar[double role], ki entry hoti hai…”, aur hum chiddhte thhe. Baad mein yahin apne home town mein hi mitr-mandali ke saath dekha. Film comedy/thriller thi. Film ke sath koi yadgaar ghatna yaad nahin.
“BEMISAAL” uss waqt Maine dekhne ki koshish hi nahi ki, Main Amit ji ki sirf action pradhan filme jo pasand karta tha..hoon,  ab tak nahin dekha.
“DESH PREMI” jab release hui thi tab Main Sw. Pui. Babuji ke saath Muzaffarpur apni badi didi ke sasural gaano-[village]- ‘Manikpur’ gaya tha. Mere bhanjo [didi ke dono putron] Sushil-Saurabh ka “yagyopaweet sanskaar” [janeu] hona tha. Wahan se laut-te samay Patna ke Regent’ cinema mein Maine Babuji ke saath “DESH PREMI” dekha. Film mein character artists ki bheed thi. Iss film mein Sw. Uttam Kumar ko aur unke “Ghosh Babu” ke performance ko dekh kar main bahut prabhavit hua tha. Sw. Premnaath ‘Puttu Anna’ ke majedaar role mein thhe. Shammi Kapoor Sahab ‘Sardaar Shamsher Singh’ ke raubdaar role mein thhe. ‘Pariksit Sahani’ Ghulam Ali ki bhumika mein thhe. Sharmila Taigore ne kafi dino baad darshan diye. Fir bhi film ko woh’ wah-waahi nahin mili thi. Film ka gaana “…khatoon ki khidmat mein salaam apun ka…” ne mujh par jadoo jaisa asar dala, aaz bhi uske prabhav mein hoon. Fir bhi iss film ko kahin-kahin kafi atishyokti-purnn dhung se dikhya gaya tha aur Sw. Manmohan desai ka nirdeshan unke apne kaabu se kuchh bahar fisalta dikha. Aam darshak bhi utne prabhavit nahi hue thhe. Lekin Main zidd ka mara, Amit Ji aur unke film ki aalochna sun kar rooth gaya tha. Babuji uss samay ghar par “Dharmyug” aur “Saptahik Hindustaan” namak ptrikayen magaya karte thhe jinke filmi parisishton ko Main bade chaao se padhta tha. Inn ptrikaon ka chhapna kab ka band ho chuka hai lekin meri bachpan ki bahut si yaadon mein ye aur inka yogdaan shamil hain.
…isske baad paradarshit hui iss saal ki Amit ji ki baki sabhi filme blockbuster, super hit rahin…
“NAMAK HALAL”…ek aur mile Stone! “…Pag Ghooghroo Bandh Meera Naachi Re…” Sw. Kishore Kumar ki khnanakti awaaz ke saath AMITABH BACHCHAN ka shandaar padarshan! Kya koi Hindi cine-premi bhool sakta hai !?  Bakayada programme bana kar Ranchi ja kar Mama Ke sath ‘Uphaar’ cinema mein Maine apne pyare ‘Shri_Big`B’ ko …Arjun Singh, vald_Bheem Singh, vald_Dashrath Singh… ke roop mein  nachte-gate-dhoom-dhamal machte dekha aur pichhli sare gile-shikwe bhul gaya.
…Issi samay hamari I.Sc. ki parikshayen aa gayin…
“KHUD`DAAR”[...fir ek mile-stone! ] ke release ke samay Main sanyog-vash fir ek baar Mama ke sath Patna mein tha, jahan manjhle jijaji ke chachere bhai Mohan Bhaia ji ke sath hum teeno ne ‘Regent Cinema’ mein iss film ko dekha. Iss film mein Sw. Sanjeev Kumar Sahab ki acting bahut-bahut shandar lagi thi, aur Amit Ji! wa!-wa-!!wa!!! Apne pure josho-jalaal mein thhe. kahin koi ratti barabar bhi oh! unh! nahin. Amitabh Bachcan puri film ko apne kandhe par ddhote hain aur super-hit se aage ki ’sangya’ par rakh dete hain. Iss film ki ek aur badi khasiyat yah thi ki ismein purane zamane ke jane-mane comediyan Sw. Mehmood bhi thhe, jo Chhotu Ustaad(amitabh bachchan) ke dost hote hain aur haath-tthele par “KELA” bechte hain, jinka kele’-bolne ka andaaz wohi purana tha jiske liye woh mashhoor thhe. Yeh ek Yadgaar Amitabh Bachchan -brand- film thi. Aur film ke sabhi gaane bhi saal ke super-hit!!!  Issmein bhi Amit Ji Holi khelte hain, aur Sw. Parween Babi ke saath Shri Krishna Janamashtami par “…mach gaya shor sari nagari re…” [Sw. Kishore Da ki awaaz mien] ga kar hamara dill jeet lete hain. Haal hi mein issi 'Janamashtami' ke din Amit Ji ne apne blog par iss gaane ki shooting ki chacha ki thi aur bataya ki Dahi-Mattha se bahri mitti ki 'gagari' ko apne sar[head] se maar kar todte hain jis-se unke sar se khoon bahne laga tha. “…aangreji mein kahte hai ki I love you…” 1982 ke ‘Binaka-Geet-Mala’ mein sarwa-shreshtth gane/song ka darja hasil karti hai. Iss film tak aate-aate Amit Ji ki lokpriyata sarochchttam shikhar par sthapit ho chuko hoti hai, jisse safalta ki parikashttha kahne mein mujhe koi atshyokti nahin lagta. Mere liye toh jaise woh mere apne bade bhaai ban gaye thhe. Main hamesha chaha karta tha ki mere balon ka style unke balon ki tarah dikhe. Jab bhi Main aaine ke samne khade ho kar apne balon ko kanghi karta tha toh badi nirasha hoti thi, fir bulb ki roshni mein apni parchhayin mein apne sar-mathe-baal ko niharta tha aur usme dekh kar dubara kanghi kar ke santosh pane ki asafal koshish karta tha. Amitabh Bachchan mere liye Ishwar ban chuke thhe.


Iske baad ki relase “SHAKTI” safalta/kamyabi ki puri eemarat hai. Iss film mein Mere Shri_Bib`B hamare desh ke gaurav hindi cinema ki diggaj murthi Shri Dilip Kumar Sahab ke saath milkar abhinay aur abhineta ki sarottam paribhasha ki rachna karte hain, jiske liye film ke producer/director dhanyawaad ke patr hain. Iss film ko dekhne ke samay Main Babuji ke saath sa-parivaar ”Gaya” ke ‘Maan-pur’ apni chacheri bahan ke sasural gaya tha, mujhe yaad aata hai Sushil-Saurabh bhi uss waqt hamare saath thhe. Hum chacheri bahan ke ’sasur’ (father in law) ke chehre ki tulna “SHAKTI” film mein Sw.Amrish Puri ke kirdaar ‘J.K. Verma’ se kar ke aapas mein khoob hanssa karte thhe. “Gaya” mein hum sabne milkar sa-parivaar “SHAKTI” dekhi. Film jaise Amitabh Bachchan ke ab tak ke pure filmi career ka ”punah:prasarann” si karti hui ek naya kirtimaan sthapit karti hai. Main Amit Ji ki safalta ko apni tarif samajh kar bahut khush hota tha. “SHAKTI” film mein achanak(!) Amit Ji ne badi gambheer bhumika nibhai jiske liye darshak shayad taiyar nahin thhe, ya fir uss waqt sanchaar sadhan aaz jaise high-tech nahi hone se koi purwa-suchna nihi thi. Amit Ji ne apne shandaar performance se darshakon ko stab'dh kar diya tha. Iss film tak Amit Ji ka chehara bahut paripakwa/mature, aur bade-pan+badappan ka ahsaas karata tha jo barbas unki izzat karne ko badhya kar deta hai. Aise hain mere Shri_Big`B!
“………..fir jaise kisi ki nazar lag gayi………..!”
…jari…