August 28th, 2010 by Shrikant Tiwari
#12
28,AUG`2010
1981 mein release hui CHASHME BADDOOR, COMMANDER, WALAYATI BABU mein Amit Ji guest thhe, _ inn filmon ko maine nahin dekha hai. Doordarshan par chitrahaar mein kbhi kisi ka koi gaana prasarit hua tha aur record ke dukandar ka beta mera dost tha, issliye pata hai, “Walayati Babu” ka toh naam hi maine haal mein Amit Ji ki filmography mein padha, ussi ki list ne muje yah sansmarann/lekh-maala likhne ke liye prerit kiya.
“NASEEB”, “BARSAAT KI EK RAAT”, “LAWAARIS”, “SILSILA”, “YARAANA”, “KAALIA” inmein “SILSILA” ko chhod kar baki sabhi pure Amitabh Bachchan ‘-brand-’ filme thin.
“NASEEB”, “BARSAAT KI EK RAAT”, “LAWAARIS”, “SILSILA”, “YARAANA”, “KAALIA” inmein “SILSILA” ko chhod kar baki sabhi pure Amitabh Bachchan ‘-brand-’ filme thin.
Koi bhi nayi film ko uski release ke saath hi dekhne ke garaz se hamesha hamein Ranchi jana padta tha, jab “NASEEB” release hui toh humne use Ranchi ja kar Sandhya cinema mein dekha, jiske ‘interval’ mein “LAWAARIS” ka trailer dikhaya gaya tha. Pata nahi cinema premiyon ki aisi maansikta kyon rahti hai ki jo film khaas woh uss waqt dekh rahe hote hain, uss-se jyada maza unhe kisi bhi nayi ya purani film ka trailer dekhne mein aata hai?(…shayad free extra intertainment samajh kar…ykaa-yak naye romaach ki ummeed mein!). “NASEEB” dekhte waqt “LAWAARIS” ka trailer jab screen par flash hua toh cinema ghar mein romanchak harsh-dhwani hui, aur public ne ussi samay “LAWAARIS” ko ‘-dekhna hi hai-’ faisla kar liya. “NASEEB” super-duper hit rahi. Amar-Akbar-Anthony ke baad Rishi Kapoor fir ek baar Amit Ji ke saath thhe, jin par filmaya gay gaana jo Sw. Mohd. Rafi Sahab aur Amitabh Bachchan[-swayam ki-] aawaz mein tha“…chal mere bhai tere hath jodta hoon…” , aur “Sw.Mohd. Rafi Sahab ki shandaar amar awaaz mein gaya hua “…John-Johnny-Janardhan Tara-Rum-Pum-pum, Pum-Pum-Pumm…” …khoob lokpriya hui, tab radio par ”BINAKA GEET MALA” par yeh gane No.1 ki takkar mein “LAWAARIS” ke geet “…mere angne mein…” ke saath kabhi aage, kabhi peechhe bajte thhe. “NASEEB “ film dekhte samay_dikhaye gaye “LAWAARIS ” ke trailer ka wakya mujhe abhi tak yaad hai, screen par ‘interval’ flash hua toh break ke dauran utth-ti public _screen par fir roshni dekh kar apni seat par wapas baith gayi, …trailer shuru hua,…screen par AMITABH BACHCHAN dikhte hain [...jo ki "NASEEB" mein already hamare saath hain, fir bhi trailer mein jyada fresh lagte hain...] aur RANJEET ko kahte hain “…mera naam Heera hai, gale lag gaya toh haar ban jaun, aur kahin halak(Q) se neeche utar gaya, toh cheer ke rakh dunga…”. public ‘wa-!wa-!!wah!!!’ kar utth-ti hai. “LAWAARIS” pure josh se release hoti hai aur safalta ke naye kirtimaan sthapit karti hai, lekin jiska supr hit gaana “…mere angne mein…” BINAKA GEET MALA mein “NASEEB” ke gaane “…chal mere bhai…” se ek payadaan peechhe (one step behind) rah kar saal ke 2`nd hit song ka darja hasil kar pati hai.
“LAWAARIS” Sw. Babuji ke saath sa-parivar Ranchi ke Uphar Cinema mein dehkha. Pados ke Bungali Chacha-Chachi bhi hamare saath the. “LAWAARIS ” mein Amitabh Bachchan jab-jab Zeenat Aman ko chhedte hain toh Chachi ki besakhta/barbas hansi nikal jaya kart thi. “…kahe paise pe itna gurur kare hai…” ke filmankan mein Amit Ji ki pratibha dekhte jee nahi bharta, jisne film dekhne ke darmyan Sw.Puj.Babuji ko bhi kahoob hansaya tha. “…seth! kasam paida karne wale ki…” _Ye dialoge bolte hue Amitabh Bachchan kisi ko yaad hain kya? Sulge aag ki laal lapton ki roshni mein wivashta aur krodh ke aawesh se tamtamaya hua Amitabh Bachchan ka chehra kisi ko yaad hai kya? Haan ! toh …chal mere bahi tere hath jodta hoon ! …Nahin!!?… Nahin!!!? toh fir mere angane mein tumhara kya kaam hai …!?
“BARSAAT KI EK RAAT” kaafi dino baad Lohardaga mein hi mitr-mandali ke saath dekha. Iska gaana “…kali Ram ka fatt gaya dhol…” sun-ne ke liye main Bungali Chacha ke ghar mein ghusa rhata tha kyon ki unke yhan record-changer-gramophone tha, jisme radio bhi tha. Mera apna record player 1978 mein Babuji ke boss ke bete ki baraat mein jab main bhi Babuji ke saath ho liya tha tab Patna ke Hathuwa market se HMV ka record-player Babuji ne Rs.600/ ke lagbhag ki keemat mein kharida tha. Ussi samay Rishi kapoor ki “SARGAM” ka record bhi kharida tha, mere khoob rone-machalne, zidd karne par Babuji ne “DON” ka record maanga to available na hone ke karan nahin le sake, Jo baad mein Mama, jab Babuji ke saath Calcutta gaye thhe to wahan se kharid kar laye the.
“SILSILA” _Yash Chopda ki Amit Ji ke saath ki ek yadgaar film hai. “SILSILA” dekhne ke dauran main Hazaribagh mein tha, jahan ke ‘Indrapuri’ cinema mein Maine iss film ko dekha. [Ek baar Patna jane ke kramm mein "Amar -Akbar-Anthony" bhi pahli baar maine Mama ke sath issi cinema ghar mein dekha tha, uss waqt Amar-Akbar-Anthony ko release hue 4-5 saal ho gaye thhe.] “SILSILA” ko mila kar ek hi saal mein teen filmo mein Amit Ji ne apni khud ki awaaz mein gaane gaye thhe, jo sabhi ke sabhi khoob pasand kiye gaye. Issi film ka gaana Holi geet “…rang barse bheege chunar wali rang barse…” bajaye bina hume aaz bhi Holi, Holi nahi lagti hai. Bhaia Amitabh Ji, Huzoor Maaf Kijiyega, usss umar [age] mein Bina Action Ke, Thodi, …Jara, …Zara si… Sust Aur Kamzor Aur Boar Lagi. Haan iss film ke comedy wale prasang “…neeche paan ki dukaan upar gori ka makaan…” dekh kar bahut maza aaya tha. Ab dekhne par “SILSILA” tthik-tthak lagi, mann laga, mann kya laga bhaia yakeen janiye afsos hua ki pahli baar ke time Main kachcha kyon tha?…bachcha tha issiliye …
Sanyog vash “YARAANA” dekhne ke dauran bhi main Hazaribagh mein hi tha, jahan ke naye Luxhmi cinema mein maine Sushil [Bade Banje] ke saath dekha tha. Iss film mein bachpane ke seen mein Kisan-Bishan [AMIT JI AUR AMZAD KHAN] _Ranjeet ke bachpan ka role nibhane wale chhokre ka sar moond dete hain jise ki uska baap {Sw.JEEWAN} bhi bhikhari smajh kar fatkar deta hai....yeh seen dekh kar aur akele mein yaad kar-kar ke maare hansi ke hamre pet mein dard ho jata tha. Issi film mein jab Amitabh Bachchan ko dance ki training lene ke liye group ke saath club mein nachaya jata hai toh sharart mein Amitabh apne aage-peechhe nachte ladke-ladkiyon ko laat mar dete hain, aur ho jata hai hungama! _ussi club mein RAM SETHI daroo-(booz)- pi ke tuunn thhe, woh utth kar jane ke chakkar mein bar-bar kisi-na-kisi se takrate hain aur dubara bar-table pe baith kar aur daroo pite hain, aakhirkar tang aa kar woh apne suit ka coat khol kar zameen par patak kar usspar koodne lagte hain…iss seen ko yaad kar ke ab bhi hum barbas hans padte hain. Kya din thhe woh!…aur kitni sachchi aur nischhal hansi thi hamari...!!! “YARAANA” mein mujhe Amitabh Bachchan Ke chehre par extra charbi (fats) dikhi/mahsoos hua. “Zanjeer” mein Amit Ji ka bachpan ka kirdar nibhane wale balak Master Bittu, tazzub hota hai, bilkul nahin badle thhe, jaisi masoomiyat iss bachche mein Zanjeer ke waqt thi woh-hi masumiyat “YARAANA” mein bhi barkarar thi, bachche ka kadd bhi jas-ka-tas tha!
Fir bari aai aur “KAALIA” release hui “…haan! toh bachchon! Mukhtaar singh ka naam suna hai tumne?….” Jante hain iss film ko abhi ek saal pahle DVD par dekhte samay muje pata nahin kya soojha ki maine copy-pen liya aur shuru se aakhir tak ke tamaam-ke-tamaam dialoges ke English subtitles copy par likhta chala gaya.
***********************************************************************************
…sorry!…
…………….abhi-abhi TV par ek programme mein ‘Dharam Pa ji’ ko live dekh kar pyar se aankhen bhar aain hain “SHOLAY” ki yaaden manayi ja rahi hai, ”chhote ustadon” ke saath……………..kaash! ‘Amit Ji’ bhi saath hote, ek bachche ne ‘Dharam Pa Ji’ se sawal poochha hi liya ki “Jay” ko saath kyun nahi laye? toh ‘Dharam Pa Ji’ ne hans kar kaha ki “Jay” bahut busy rahta hai…………TV par break hota hai…
…’Amitabh Bachchan’ garaj kar lalkaar rahe hain “…asli sher hain toh dahad kar dikhana hoga…”
…koi add maloom hota hai…
***********************************************************************************
…kaalia contd…
“KAALIA” ek dialoge-pradhaan film thi jismein harek kalakar ko apnai pratibha ko khul kar pradarshit karne ka awsar mila tha..ki kya Amit Ji, Asha Parekh Ji, Sw.Amzad Khan, Sw. Parween Babi aur sabse badh kar PRAN Sahab! …Bhai wah! Iss film ka poster bhi yadgaar raha, jismein hathkadi lagi haathon ke saath daant bheenche hue Amit Ji ka krodhitt chehra avismarniya hai.
‘…KAALIA!…KAALIA!!…KAALIA!!!’
‘…KAALIA!…KAALIA!!…KAALIA!!!’
…jari…