August 23rd, 2010 by Shrikant Tiwari
24,AUG`2010
#8
1966 TAK AMIT JI, MERA ANDAAZA HAI KI 24 SAAL KE YUVAK HONGE, 02/JAN/1966 KO MERA JANAM HUA. 1969 MEIN RELEASE HUI “SAAT HINDUSTAANI” MAINE AB TAK NAHIN DEKHI, “BHUWAN SHOME” KE BAARE MEIN BAS ITNA MALOOM HAI KI ISS FILM MEIN AMIT JI NE SIRF APNI AWAAZ DI THI. “PARWANA” MAIN BHUL GAYA HOON, …SHAYAD DEHA HO. “AANAND” KAI BAAR DEKH CHUKA HOON, ISMEIN RAJESH KHANNA DWARA AMIT JI KO PUKARNE KA ANDAAZ "…Babu Moshai…" KOI KABHI BHOOL SAKTA HAI KYA!? 1971 MEIN MAIN 5 SAAL KA BACHCHA THA.. ISSI SAAL Sw. SUNIL DUTT SAHAB KI “RESHMA AUR SHERA” RELEASE HUI THI, ISME AMIT JI NE GOONGE PATRA Chootu KI BHUMIKA NIBHAI THI. YAH FILM JAB HAMRE SHAHAR MEIN LAGI TAB MEINE ISE DEKHA, ISS FILM MEIN AMIT JI KO JYADA notice NAHIN KIYA GAYA THA. ISSI FILM KO AUR BAAD MEIN EK BAAR DUBAARA DEKHNE KA MAUKA MILA TOH ISMEIN Sw. AMIRSH PURI JI EK MAHATWAPURN BHUMIKA MEIN NAZAR AYE. VINOD KHANNA ISME Main Negetive Charecter KE Role MEIN DIKHE. ISSI SAAL KI RELEASE DUSRI ANYA FILME “BOMBAY TALKIES”, KE BARE MEIN NAHIN MALOOM, “GUDDI” MEIN AMIT JI KHUD “SWAYAM”KI, EK FILM ABHNETA KI CHHOTI SI BHUMIKA MEIN THHE, ISMEIN JAYA JI AUR DHARAM PA JI 'Main Lead Role' MEIN THHE, JISMEN DHARAM PA JI KHUD ‘DHARMENDRA’ KI BHUMIKA MEIN JAYA JI KE SAATH THHE. “PYAR KI KAHANI” MAINE NAHIN DEKHI HAI. “SANJOG” JISMEIN AMIT JI KE OPPSITE MALA SINHA THHIN MAINE GHAR PE TV PAR DEKHA. “PYAR KA GHAR” NAHIN MALOOM. 1972 MEIN RELEASE HUI “EK NAZAR” MAINE NAHIN DEKHI HAI LEKIN ISKA GAANA KISHORE DA KA GAYA HUA “…Pyar ko chahiye bas ek nazar-ek nazar…” HAMESHA SUNTA HOON. “BAWARCHI” LATE DEKHI, ISME AMIT JI KI SIRF AWAAZ THI, JAYA JI AUR RAJESH KHANNA 'Main Lead Role' MEIN THHE. “RASTE KA PATTHAR” NAHIN MALOOM. “BOMBAY TO GOA” KAI BAAR DEKHNE KA MAUKA MILA LEKIN AADHA-ADHURA HI DEKH SAKA HOON, ARUNA IRANI ISS FILM KI heroine THHIN AUR SHATRUGHNA SINHA ISMEIN negetive role MEIN THHE, AUR Sw. MEHMOOD SAHAB KA TOH KAHNA HI KYA! JINKI KI YE FILM THI. 1973 KI RELEASE “BADA KABOOTAR” NAHIN MALOOM. “BANDHE-HAATH” MAINE DEKHA HAI LAKIN ISKI KAHANI BHOO;L CHUKA HOON, ISMEIN MUMTAAZ THIN AUR AMIT JI double role MEIN THHE, “GAHRI CHAAL” MEIN HEMA JI NE AMIT JI KI BAHAN KA ROLE KIYA THA AUR JEETENDRA Main Lead role MEIN THHE. “ABHIMAAN” KI KAHANI AUR ISMEIN SABHI KALAKARON JAYA JI, ASRANI. A.K. AUNGAL … KA ABHINAY BAHUT ACHHA THHA. GAANE LAAJABAB THHE. AB BHI SUNTA HOON. “SAUDAGAR” NAHIN DEKH PAYA HOON, ISMEIN PADMA KHANNA AUR Sw. NUTAN JI THHIN. “NAMAK HARAAM” ISSI SAAL KI RELEASE HAI, JISMEIN AMIT JI NE APNI ABHINAY PRATIBHA AUR Performance KE DUM PAR APNI JORDAAR UPASTITHI DARZ KARAI, ISSMEIN REKHA JI AUR RAJESH KHANNA Main Lead role MEIN THHE. …FIR ISSI SAAL BHAWITAVYA AUR PRARABDH KE PRABHAV SE EK ALAUKIK CHAMATKAAR KI TARAH ANGRY YOUNG MAN Police Inspector VIJAY KHANNA KE ROOP MEIN All Time Super Hit FILM “ZANJEER” KE DWARA EK BILKUL NAYE AUR BHARTIYA PARIVESH KE TAT-KALEEN JAROORAT KE MUTABIK _Mere Shri_Big`B _"AMITABH BACHCHAN"_ KA NAYA AVTAAR HUA. JISKE CHMATKARIK PRAKAASH KI AMIT-ABHA-MANDAL SE AB TAK DUNIYA ABHIBHOOT HAI.
#9
1974 MEIN, JAB MAIN 4TH/CHAONTHI KAKSHA MEIN PADHTA THA, AMIT JI KI ANEK FILMEN Release HUI THIN : Sw. MEHMOOD KI : “KUWARA BAAP” JABARDAST HIT RAHI, JISMEN AMIT JI Guest appearance MEIN THHE, ISS FILM KE EK SEEN MEIN: MEHMOOD CHADAR ODHE SOYE AADMI KO JAGATE HAIN TOH CHDAR HATA KAR AMIT JI PRAKAT HOTE HAIN, Publik/Audience MEIN HARSH-DHWANI HOTI HAI KI “…chalo Paisa wasool ho gaya…”. “KASAUTI” MEIN HEMA JI AUR PRAN SAHAB KE SAATH AMIT JI MAIN Lead role MEIN THHE, ISS FILM KA GAANA JO PRAN SAHAB PAR FILMAYA GAYA THA“…hum bolega toh bologe ki bolta hai…” KHOOB LOKPRIYA HUI THA. “DOST” MEIN DHARAM PA JI AUR SHATRUGHNA SINHA NE MUKHYA BHUMIKAYEN NIBHAI THIN, FILM KI NAYIKA HEMA JI THIN, FILM KA GAANA “…gadi bula rahi hai, …siti baja rahi hai…” SUNAI DETE HI BACHPAN KE WOH DIN YAAD AA JATE HAIN. ISS FILM KE EK DRISHYA MEIN DHARMENDRA APNE KHOYE HUE DOST KA PATA POOCHHTE EK GHAR KA DARWAJA KHAT-KHATA-TE HAIN TO NAV-JAWAAN > AMITABH BACHCHAN EK SADHARAN MERE/shayad aapke bhi SAMAN THAKE-HARE, HALKI DADHI WALE CHEHRE PAR GAMBHIRTA LIYE GHAR KA DARWAJA KHOLTE HAIN… AUR DHARMENDRA KO BATLATE HAIN KI JIS DOST KO WOH DHOONDH RAHE HAIN WOH AB WAHAN NAHIN RAHTA…basss…ITNI HI DER KE LIYE WOH DIKHTE HAIN LEKIN ITNI HI DER MEIN PURE CINEMA GHAR MEIN TAALIYON KI GADGADAHAT SITIYON KI AWAZ, SHOR AUR DHMAAL MACH JAATA HAI. AISI JADOO BHARI PRATIKRIYA SIRF AUR SIRF AMIT JI KI MATR EK JHALAK BHAR DEKH LENE SE HO JATI THHI. “BENAAM” EK THRILLER FILM THI, MAUSHUMI CHATERJEE NAYIKA THIN, ISS FILM KA GAANA NARENDRA CHANCHAL KA GAYA HUA “…main be-naam ho gaya…” AAJ BHI TARO-TAAZA LAGTA HAI, AAZ RAKSHA-BANDHAN HAI, ISSLIYE YAAD AATA HAI KI “DOST’ FILM KE EK DRISHYA MEIN HEMAJI _SHTRUGHNA SINHA KO RAAKHI BANDHNA CHAHTI HAJIN, SHATRUGHNA SINHA HOSPITAL BED PAR SE APNA BAYAN HAATH [ left hand ] AAGE BADHATE HAI TOH HEMA JI UNSE DAHINE HAATH KO AAGE KARNE KO KAHTI HAIN, SHATRUGHNA SINHA HICHKICHATE HAIN TOH HEMA JI KHUD CHADAR HATA KAR UNKA DAHINA HAATH DHUNDHTI HAIN, JO KUHNI SE KATA HUA_ PA KAR WE CHEEKH PADTI HAI…! FIR SAMBHAL KAR BADE BHAV-PURN DHANG SE UNKI BAYEN HAATH KI KALAI PAR RAAKHI BANDHTI HAIN, BHAI-BAHAN KI AANKHE BHEEG JATI HAIN! “MAJBOOR” MEIN AMIT JI KE SAATH Sw. PAWEEN BABI THIN, ISS THRILLER FILM MEIN PRAN SAHAB _'Michael D’sooza'_ KI SHANDAAR BHUMIKA MEIN THHE JIN PAR FILMAYA GAYA GANA : “…fir na kahna Michael Daru pi ke danga karta hai…” KABHI PURANI NAHI HOGI; KAM-SE-KAM HUM LOHARDAGA WASIYON KE LIYE TOH HAGIJ NAHIN!- KYONKI ISS GAANE KI LOKPRIYATA KA JADOO MERE DOST 'PRADEEP' PAR AISA HAWI HUWA KI SCHOOL KE "SHATABDI-SAMAROH' MEIN APNI Performance KE LIYE ISSNE ISSI GAANE KO CHUN LIYA AUR DIN-RAAT, GHAR HO YA SCHOOL LAGA rehearsal KARNE, ISMEIN ISSKI BHUMIKA LOGON KO ITNI PASAND AAYI KI SABHI ISSE ISSKE ASLI NAAM 'PRADEEP' KO BHOOL GAYE AUR YAAD RAH GAYA "MICHAEL!!!" JISS NAAM SE HI SARA SHAHAR ISSE AAJ BHI JANTA HAI.
“ROTI-KAPDA-AUR-MAKAAN” _MANOJ KUMAR KI YAH FILM HINDI CINEMA MEIN EK mile-stone HAI, JISKI KAHANI AAZ BHI PRASANGIK HAI, ISS FILM MEIN YUVA AMITABH FILM KE PRARAMBH MEIN ALHAD, HANSOD, VINODI, MAZAKIYE SWABHAV WALE ALMAST LEKIN BHATKE HUE COLLEGE STUDENT KI CHHOTI SI BHUMIKA KE BAAD BADE BHAAI KE FATKARNE PAR GHAR CHOD KAR CHALE JATE HAIN, FILM KE Second half MEIN JAB DUBARA Screen PAR AATE HAIN TOH SABHI DARSHAK HARSH-PURN LEKIN ‘STAB-DH’ KAR DENE WALI BHUMIKA MEIN AMITABH KA NAYA SWAROOP DEKH KAR BAG-BAG HO KRAR HARSH-DHWANI ‘…aaishaa!…aaishaaa!’ KARNE LAGTE HAIN :JAB DESH PAR AAKRAMAN HOTA HAI TO GOLIYON SE CHHALNI SAINIK AMITABH APNI VEERTA SE MISSON FATEH KAR JAB WAPAS GHAR AATE HAIN TOH ‘USS SAINIK KA’ EK HAATH KUHNI SE KATA HUA THA! …UPAR CHARCHIT AMIT JI KI SABHI FILME MAIN HIGH SHCCOL YA FIR COLLEGE KI PADHAI KE DARMYAN HI DEKH PAYA THA. 1975 MEIN RELEASE HUI “CHUPKE-CHUPKE” EK SOCIAL-COMEDY FILM THI JISME DHARAM PA JI BADE MAJEDAAR ROLE MEIN THHE AUR AMIT JI UNKE CHHOTE BHAI SAMAN MITR KI BHUMIKA MEIN THHE, JO MITR KI SAHAYTA KARTE HAIN AUR KHUD CHAKKAR MEIN FANS JATE HAIN. YAH FILM 1994/95 MEIN MAINE GHAR PAR TV PAR DEKHA. “FARAAR” BHI EK THRILLER FILM THI JO HAMRE SHAHR MEIN LATE LAGI THI, ISS FILM MEIN SHARMILA TAIGOR AUR Sw. SANJEEV KUMAR Co-star THHE. “MILI” _AMIT JI AUR JAYA JI KI EK YADGAAR FILM THI. “ZAMEER” BHI MAINE LATE DEKHI, JISMEN VINOD KHANNA, SHAMMI KAPOOR SAHAB co-stars THHE, FILM KI NAYIKA SHIRA BANU JI THIN.

“DEEWAAR” -YASH CHOPDA- DWARA NIRDESHIT, AMITABH BACHCHAN KI SABSE ACHHI FILMO MEIN SE EK HAI, JISKE BARE MEIN BACHPAN MEIN HI MAINE EK PATRIKA MEIN AMIT JI KE Sw. Puj. BABUJI Dr. HARIVANSH RAI BACHCHAN JI KA Interview PADHA THA JISKE EK PRASHN KE UTTAR MEIN UNHONE “DEEWAAR” KI Script KO TAB TAK KI AMITABH BACHCHAN KI FILMO KI SABSE ACHCHI Film Script, AUR APNE BETE KI SABSE ACHHI FILM MANA THA. “DEEWAAR”_HINDI CINEMA KA EK MAJBOOT Mile Stone! YE FILM MAINE SAHI WAQT PAR FIR BHI KUCHH LATE DAKHI, ISS FILM KE BARE MEIN MAIN KUCHH COMMENT KARNE KI KABILIYAT KHUD MEIN NAHIN PAATA!
“…bass itna hi kahunga ki “Maa” aur “Bete” ka rishta Hindi filmo ka shuru se pasandia subject raha hai lekin “DEEWAAR” mein Amit JI aur Sw. Nirupa Roy Ji dwara Maa-Bete ka nibhya gaya charitr / bhumika adwitiya hai, adbhut hai…” Amit Ji ki adhikans filmo mein Sw. Nirupa Ji ne hi Amit Ji ki Maa ka Jeewant kirdaar nibhya hai, jinhone Maa-Bete ke rishton ki ek naye apnapan aur mamta ki garmahat/warmth ke ahsaas se hume awgat karaya.” ISS FILM MEIN AMIT JI -KAMYABI- PANE KE BAAD JAB EK EEMARAT KO KHARIDTE HAIN TOH BECHNE WALA VYAKTI AMIT JI SE KAHTA HAI “…bura mat man-na, aapko dhandha karna nahi aata, agar aap isske badle kuchh kam keemat bhi dete toh main kubul kar leta.” Toh Amit ji jabab dete hain ki “…dhandha karna toh aapko nahi aata seth ji, agar aapne iss building ke aur das-lakh bhi mange hote toh woh main aapko de deta.” Seth ashcharya se puchhta hai :“…achha! aisi kya khas baat hai iss building mein?” Amit ji jabab dete hain ki “…aaz se kuchh saal pahle jab yeh building ban rahi thi toh meri Maa ne yanhan eenten utthai thi!” (sorry…maine apni yaad ke aadhar par likha hai, dialoge mein word ka fark ho sakta hai par kathan ka bhaaw yahee hai.) “FIR FILM KE CLIMAX SE THODA PAHLE MANDIR MEIN AMITABH DWARA BHAGWAAN SE BAAT KARNE KA SEEN !!!” "...aaj khush toh bahut hoge tum...", AUR MAA KI GOD MEIN DUM TODTA VIJAY……..!

…FIR..AAI…"_SHOLAY_!" _EK AMAR RACHNA, the great epic, EK AMAR GAATHA! SAMAJH MEIN NAHIN AATA KYA BOLUN, SIRF ITNA BOLUNGA KI ISS FILM NE BHARTYE FILMON KI BHAWISHYAVAANI LIKH DI, BHARTIYE DARSHAKON KE KHAYAL BADL DALE, Hero, Heroine, Villain, charechecter artist, supporting artists… INN SABHI KA Concept HI BADAL DAALA.
“_EKOHAM-ASTI, _DWITIYO-NA-ASTI, _NA-BHOOTO-NA-BHAWISHYATI…!!!”
“_EKOHAM-ASTI, _DWITIYO-NA-ASTI, _NA-BHOOTO-NA-BHAWISHYATI…!!!”
…basss… IS-SE JYADA KUCHH NAHI KAHUNGA.
…jari…