Shri Amitabh Bachchan Ji
Sadar Pranaam,
N.D.T.V.-India par ek samwad-data Shri Raveesh Ji ka karya kram “Raveesh ki Report” ke ek prasaran mein- jo ‘Spoken-English Coaching Institutes’ par dikhya gaya tha-,usme ek add-board [prachaar Poster] dikha, jis par likha tha : “Angreji Sherni Ka Doodh Hai, Jo Piyega Woh Dahadega__ Baba Saheb Aambedkar!” Ab itne bade aadmi ki baat kachchi toh nahin hogi na! Iss-se prerit ho kar kitne log ‘Angreji ka Doodh’ pee rahe hain yeh toh mujhe nahin maloom, lekin Angreji na jan-ne walon ko chhotepan ka ehsaas jaroor karati hai.
Hindi divas aaya aur mujhe yeh ehsaas karaa gaya ki Hindi ko HINDI _”DEVNAGARI”_mein hi likhna ya type karna chahiye na ki Roman mein, jaise S.M.S. adhikaansh log yun hi Roman type hi karte hain. Meri viwashta yeh hai ki mujhe Engish key-board par Hindi(Devnagari) type karna nahin aata. Kintu apne vicharon aur baaton ko abhivyakt bhi karna hai. Toh aisi awastha mein,_jabki mujhe aapki ya anya logon ki tarah English bikul nahin aati, _issiliye majbooran mujhe English(Roman) key-board par anguliyan tthokni padti hain, _jaan boojh kar nahin, fir bhi main aapse aur anya vdwa-jano se kshamaprarthi hoon.
Uparokt sabhi lines Maine pahle Devanagari(Hindi) mein hi symbole keys ke sahare type ki, par jab post karta hoon toh pata nahi kya anap-sanap prakat ho jata hai,
“…BHaia maaf karhah, Aaj khaali eihye kaam mein bhar din laag gailawa hah!”
Sorry parivaar!
Aasha karta hoon ki meri iss Angreji ki kamzori ko anyatha na samajhte hue “mujhe nahin nakaar kar” iss pavitra manch par _{ on this sacred platform } aap mujhe apne saath bane rahne dene ki krupa pradaan karenge.
Sadhnyavaad,
Aapka Akinchan Bhakt
_shrikant.